in

Sex Se Related 10 Aisi Baatein Jo Har Parents Ko Apne Bacche Ko Batani Chahiye Par Batate Nahi

Sex Education

Well hamme se har kisi ke parents ko ye jarur yaad rahta hai kya khana chahiye aur kya nahi. Kya khaane se acha hoga aur kya khaane se doctor se milna hoga but maximum parents ek baat bhul jaate hai baccho ko btana. Vo hai sex kya hai and kyu hai. Especially indian parents to ise batane me itna jhijakte hai ki jaise ye koe aisa ajooba ho bol denge to asaman zameen par gir jaega. Unke dimaag me sirf itna rahta hai bacha bada hogya hai shadi krva do aur ristedaro ko bula lo. Like seriously shadi aur ristedaro ko upar bhi zindagi hoti hai ki nhi. Well india me to ye common hai parents sab yaad rakhte hai bacche ko batana but romantic life ka sabse important par i.e., sex, uske baare me nahi bata paate.

Ab kya hi kar sakte hai aane vaale generation ke parents to ham sab hi hai to kyu na ham hi batae sex kya hai and kyu important hai.

1. It’s Normal Koe Sharminda Hone Vali Baat Nahi

Are You in a Sexless Marriage?

Hanji, India me maximum log sex ko lekar kaafi ashamed feel karte hai. Khas kar uske baare me baat karne me. But it’s pretty normal like enjoy karne vala moment hota hai sex. And we belive hamme se sabhi logo ko sex kaafi enjoying lagta hai. Sex ek human need hai annd uske lie jab koe intimate hota hai then that’s very normal thing isme koe bhi sharmindagi vaali baat nahi hai. Phir chahe aap ne shadi se pehle Sex krne ka socha kisi ka relationship me rahte hue aur koe bhi situation ho. But ek baat dimag me rakhni hai ki dono ki rajamand ho aur dono legal age qualified ho.

2. Savdhani Hati, Durghatana Ghati – So Use Protection

Girlfriend not on birth control and hates condoms: What do I do?

Sex karne ki chah hai ya phir regular kar rahe hai. To hamesha mind me rakhe ki bina protection ke sex na hi kare as in kae consiquences ho sakte hai jo aapki life aur apke partner ki life ko danger me daal sakte hai. So better to use protection like condoms. And Gynaecologists se concern karna na bhule if any case aap birth control pills ya UID le to. Becuase inke kae side-effects ho sakte hai. So best option would be use condoms.

3. Mentally Raho Prepared

10 Things That's Causing Bad Sex & How to Fix It (Men's Guide) - Promescent

Sex ek enjoyment hai and if aap mentally prepare nahi hote hai iske lie then may be you won’t get that fun. So better hai peer presure me sex na hi kare. Apka partner jitna bhi requrest kare if you don’t have clarity then na hi kare.

4. Kafi Messy Hota Hai Na Ki Filmo Ki Tarah Clean

My husband is bad in bed, and I want to have an affair. Can I?

See jab aap first time sex karoge then definelty vo vaise na ho jaisa aapne mind make up kiya ho. But yes agar aap proper planning karne ke baad sex karoge then definetly thoda bahut smooth hoga hi. But if you think movies me jaise intimate scenes ko dikhaya jata hai vaisa hoga, then mere dost aap galat ho. Kyuki movie me smooth dikhaya jaata hai entertainment purpose se but in realty ye kaafi fumbling, brief or possibly awkward pauses, maybe a bit of pain se bhi bhara ho sakta hai.

5. Consent Kaafi Important Hota Hai

What is Consent? | Kids Helpline

Bina razamandi to kuch bhi karna sahi nahi hota. Ye to sex hai. Sexually active rahna hai to ye baat to hamesha hi dimag me rakhni hai ki jab tak aapka partner raazi na ho tab to nahi hi karna hai. Ab yaha raazi ka matlb ye nahi ki aapne bola sex karna hai and chalu hogae. But yaha par matlb hai body-language ko samjhana. Kae baar man nahi bhi hota then too sex kar lete kyuki hamare parents ne kabhi bataya hi nahi. But as partner aapka bhi farz banta hai ki aap dekhe aapke partner mentally prepare hai ki nahi. Kabhi kabhi in between Intercourse uncomfortable vala moment ban jata hai that time aapko turant ruk jana chahiye and janne ki kosish karne chahiye kya hai reason.

6. STDs Ka Hota Hai Khatra

Why You Might Have an Itchy Vagina After Having Sex with a New Partner |  Shape

Well, sex karne se pehle ye janna to sabse jyada hi important hota hai. Jaise ki hamne aapko upar bataya ki sex with protection is not a good thing. Uske peeche ka sabse bada reason hai unprotected sex se sexually transmitted disease hone aur failne ka khatra. Protection use karke aap in khatro se khud bhi bach sakte ho aur apne partner ko bhi bacha sakte ho. It’s cool if you want to enjoy a good sex life, but aapko accountability leni bhi jaruri hai apne aur apne partner ki life ki. STDs ke baare me jyada se jyada padhe aur khud ko usko lekar educate kare. And ye poochane se kataee bhi na kataraye ki agle ko STD hai ya kabhi rahi hai ki nahi.

7. Pleasure To Dono Taraf Mangta Hai

What Does An Orgasm Feel Like? A Neuroscientist Explains | Glamour

Well koe bhi iss baat ko nahi bolta especially women. Like kae surveys me paya gya hai not only in india balki around the globe females ko orgasm and pleasure nahi mil pata as compared to males. So if you’re male then it’s your responsibility to ask your female partner, unko pleasure mila ki nahi because sex me pleasure paane ka rights dono hi parties ka hai.

8. Sex Kabhi Bhi In-Between Rok Sakte Hai

Taking A Break Sticker for iOS & Android | GIPHY

Yes, aap kabhi bhi inbetween ruk sakte hai during intimacy. Agar in between aapko lagta hai ki aap feel nahi kar rahe ya vo vibe nhi mil rahi jo expected thi. And if your partner is understanding then vo iss bat ka respect rakhte hue vahi par pause le lenge. As in ye resume bhi ho sakta hai according to your mood and feelings.

9.  Sex Karne Se Pehle Aur Baad Me Pee Jarur Kar Le

Do the Doogh | TASTE

Ye kaaf important factor hai and iske peeche kae biological reasons bhi hai. Firstly isse aapko urinary tract infections hone ka khatra nahi rahta hai and secondaly it can boost your sex time as well. And yes don’t forget to take plenty of water before that

10. Sexually Active Rahna Ek Resposibility Bhi Hai

Be Responsible Sticker by ISPO Munich for iOS & Android | GIPHY

Ab jab ek baar aapne sex karna start kar diya then apne dimaag se ye jarur nikal dijiega ki Medical shop vale bhaiya kya kahenge ya koe dekh lega to kya sochega. Bhai condom hi hai koe bomb nhi jo phat jaega log mar jaenge. Condom aap apni safety aur Apne partner ki safety ke lie lete ho and that’s your uppermost responsibility towards your sexual health. Be brave and pregnancy test lene se ghabhrae nahi aga thoda sa bhi doubt ho and also gynaecologist se appoint jarur le if in any case aapko intimate area me koe bhi issues ho due to sex.

Jarurt padne par kisi trustworthy bade se bhi help aur guidance le and gynaecologists ke paas jaane ke lie bhi madad le sakte hai if required.

Khair, Kya aapke parents ne kabhi ye sab baatein batae?


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Webseries Ke Fan Ho Tho Is Quiz Ko Khel Kar Dekhieye

Jab Narazgi Ke Chalte Dharmendra Ne Pakad Liya Tha Rajkumar Ka Color