in

15 Amazing Facts About Human Brain

Human body ka sabse important and Complex Body Part agar koe hai to vo brain hai. Brain hi hamare body ki Voluntary and involuntary working ko control karta hai. Human brain ke cerebral cortex me almost 14 se 16 arab neurones hoti hai. And cerebellum  me lagbhag 55-70 arab neurones hoti hai. Inme se har ek neurone me lagbhag 1000 doosre neurones ke sath aatached hoti hai. And ye Brain ke through diye gae guidelines body ke muscles tak pahuchati hai. And Ears, Nose, Eyes e.t.c se milo informations ko brain tak pahuchane ka kam karti hai. Hamara brain hi hamare body ki har ek part ki working ko control karta hai.

Amazing Facts
  1. Human Brain ka weight lagbhag 1.36kg ke aas pas hota hai and 60% hissa fat se bana hua hai.
  2. Duniya ke sabse tez super computer ke working me 24million watt energy ki requirement hoti hai. But human brain sirf 20 watt ko energy me hi isse 100000times fast working karta hai.   
  3. Poori body ke 20% blood and oxygen sirf brain hi use karta hai. If in any case blood ka flow brain tak na ja pae ya yuh kahe blood flow band hojae. Then almost 8-10 second me inshan behos hone lagta hai.
  4. Agar Human Brain ko oxygen na milne par sirf 5-6min ke ander hi brain dead ho jata hai.
  5.  Agar Brain ke ander maujood blood vessels ko combine kiya jae to uski length almost 1 lakh mile tak ki hoti hai.
  6. Garb ke ander baby ka brain 2.5million neurones per min ke rate se developed hoti hai.
  7. Jaise jaise ham bade hote hai hamara dimag nae chizo ke baare me sochna kam kar deta hai. And it’s just because hamare dimag me jo pehale se feed information hai use hi vo sahi manta hai. And nae chizo ko accept nahi kar pata iske chalte hi hamari life me kuch naya sikhana ham band kar dete hai.
  8. Human brain birth ke time jitna hota hai 18 years tak 3 times badh jata hai and iske bad development band hojata hai.
  9. Ye theory galat hai jo kahti hai ki ham sirf apne brain ka 10% hi use kar pate hai. But in reality ham 100% use karte hai. Yaha tak ki jab ham sote hai tab bhi hamre dimag ka 10% hissa working me hota hai.
  10. Neend me jo ham sapne dekhte hai vo hamari imagination, physchological facts and neurological factors ka combine result hota hai. Hamre dream is baat ka proof hote hai ki hamra brain sote waqt bhi kam karta hai.
  11. Apne notice kiya hoga jab bhi ham nae jagah pe pehali bar sote hai to hame neend sahi se nahi aati. It’s just because hamara brain is situation ko ek danger ke taur pe dekhta hai aur sote waqt bhi adha jagta hai taki alert rah sake.
  12. Kabhi socha hai jab ham kabhi jyada khush hote hai ya udas hote hai to hamare aankho se aashu kyu nikalte hai. It’s because of Hypothalamus jo human brain me paya jata hai. Jab ham jyda khush ya dukhi hote hai to ye dono situatuon ko leke confuse ho jata hai and reaction similar deta hai dono cases me.
  13. Jab ham apni favourite music ya song ko sunte hai to hamari body poori relax ho jati hai iska kaaran hai hamare brain me develop hone vala chemical. Jise ham dopamine bhi bolte hai. Jab ye release hota hai to ham khush aur acha mehsoos karte hai.
  14. Human brain me per second almost 1 lakh reaction aate hai. And hamare brain me poore 1 din 70000 thoughts bhi aate hai.
  15. Poore world sirf ek brain hi hai jo khud soch vichar kar sakti hai.
Dimaag Einstein Ka

Einstein ke dimaag ka upper part (parietal lobe) normal logo ke dimaag ke mukable 15% bada tha. Although unke dimag ka weight 1230gm tha jo ki normal vyaktiyo ke weight (1400gm) se kam tha.

18th April 1955 ko 76 years ki age me Princeton Hospital me unki death hogae. After death Post mortem ke duration me hospital ke pathologist Thomas Harvey ne Einstein ka brain nikal liya tha. Although iski permission unhone Einstein ke bete se le liya tha. But unke is act ke chalte Princeton University ne unhe nikal diya. Thereafter unhone 40years tak Einstein ke dimag ko apne pass rakha research ke liye . And unke 100 tukade kiye and desh ke different renowned scientists ke paas bheja research ke liye. And 1998 me Harvey ne Einstein ke dimag se bhare hue 2 Jar Princeton University ko vapis kar diye.

Dosto agar aapko “ 15 Amazing facts about Human brain ” article laga to comment box me hame apne feedbacks jrur de. And agar aap koe suggestions bhi dena chahte hai to hame jrur likhe. And aap Sabse request hai ki is article ko kya se jyda logo ke sath share kare. And some friends ko bhi invite kare padhne ko.

Aur Bhi Articles Padhe: Milegi Girlfriend Ab Rent Pe | Carry Ka Kehar | Paad Ka Ilaaz | 

Funny Memes or Entertaining Articles ke Lie Follow Kare Hame: Instagram | Facebook | Twitter | LinkedIn

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Mardo Ko Hi Corona Kyu?

Sonu Sood: Reel Nahi Real Life Hero