Jab baat aaye brand establishment ki, tho kaise kuch companies aapni Out of the box thinking se naye customers ko attract aur existing customers ko retain karti hai. So that, vo uss Brand ke Loyal customers ho jaye. Aaj hum discuss karenge ki kaise kuch companies ne kaise apne aap ko marketing ki.And ek new marketing idea se customers ko kaise attract ki. And iss se hume kya seekhna chaiye. Lets know about World’s most popular brands.
APPLE –
APPLE ek aaisi company hai, jiss ke pass sabse jayada loyal customer base hai, especially jab new products market me launch ho. Aaj ke jamane me bhaut mushkil hai aaise logo ko dundhna jiss ke pass ek bhi APPLE ka product na ho.
APPLE yeh sab kaise kar leta hai? Kya aapne kabhi notice kia hai, jab kabhi APPLE ek naya product jaise ki iPhone ya Watch leke aata hai, tho ek Buzz create ho jata hai market me. Kyu hota hai yeh Buzz? Kyuki launching ke time, APPLE products ko aaise dikhata hai ki yeh hi future me life aaise hi hone wali hai, aur logo ko iss product ki sabse zayada zarurat hone wali hai.
ALSO READ: Apple Watch Series 6 Best Till Date Hai?
SPOTIFY –
2006 Stockholm, Sweden 🇸🇪 me jab SPOTIFY launch hua, tab SPOTIFY ke founder – DANIEL EK ko laga ki sab logo ki music taste alag hai. Issi baat ko dhayan me rakh kar, SPOTIFY ne next version me customised playlist ka invention hua. Iss feature se customers aapna own playlist bana sakte hai. Kyuki yeh app free hai, jab bhi kisi ko online music streaming apps ki zarurat ho, tho SPOTIFY top karta hai un ke mind aur search engine me.
UBER –
Aaj ke time me, travelling ho gaya hai bhaut hi mushkil. Tho UBER ne iss problem ka fayda uutha ke aapne app me online taxi and auto booking ka feature de dia. Iss se user kabhi bhi aur kahi bhi aapni pick up and drop location daal sakta hai, aur jo bhi driver nearby hota hai, veh apke door step pe aa kar aapko pick up kar deta hai. Yeh app iitna easy hai ki koi bhi age group ke log isse use kar sakte hai.
Aaj shayad hi aaisa aadmi mile ga jiss ke pass UBER app na ho. So, ye brand bahot important hai to reach from one place to another.
ALSO READ : Missing Travelling? These Books Will Take You Places.
AMAZON
AMAZON ke logo ka matlab hai ki A se le kar Z tak sab kuch aapko ek hi place par mil jaye ga.
For example –
- Agar aapko movie dekh ho tho aapke paas AMAZON PRIME VIDEO ka option hai.
- Agar aapko book padhni hai tho AMAZON KINDLE, AMAZON AUDIBLE ka option hai.
NIKE –
Aaj ke time me jab bhi sports aur fitness ki baat ho tho sabse pelhe ek hi brand ka name aata hai – NIKE.
NIKE, ek aaisa brand hai jo sports aur fitness ke related jo bhi items hoti hai, veh sab NIKE ke paas hota hai.
For example –
- Football players ke lie NIKE jersey banata hai.
- Basketball khel ne ke lie NIKE Basket aur Ball banata hai
- Cricket khel ne ke lie NIKE Cricket equipment banata hai jaise ki Bat, Ball, Stumps, etc.
ALSO READ : Diego Maradona passes away: Argentine soccer legend ki 5 documentaries
BUMBLE –
BUMBLE ne anjaan logo ka milne ka style hi badal diya hai. Company ka kehna hai ki uss ki customer’s privacy ko dhaayan me rakhte hue, uss ne aaisa feature add kia hai kia aap aaise logo se mil sako jo aap se zayada dur bhi nahi hai. Recently BUMBLE ne ek naya feature launch kia hai, BUMBLE BIZZ. Iss feature se log aapna career aur job searching easy bana sakte hai.
TELSA –
TESLA ek aaise company hai jo humesha future ke lie kaam karti hai. Jaise ki future me pollution badhe ga, tho TESLA ne electric car banana shuru kar diya.
TESLA ke founder – ELON MUSK ko log real life IRON MAN kethe hai, iss ka karan hai ki movies me jaise technology ko dikhaya jata hai, ELON MUSK ne aaise hi kai saare invention kie hai taki veh sab real life me use kia jaa sake.
Khatam karne se pelhe ke tip dena chahu ga, Brands ke ache kaam par iitna focus na karo, balki Brands ki mistakes par zayada focus do. Kyuki mistakes se hi aadmi sikh ta hai. So, ye the worls’s popular brands.
THANK YOU.