Amazfit Stratos 3 smartwatch India me hue launch, So janiye iske special features and price ke baare me. Amazfit Stratos 3 Indian market me 13,999 rupees me launch hue hai. Company ne information di hai. Ye smartwatch 22nd June raat 8 baje se sale start hogi Flipkart and Amazfit par. Colour options ki baat kare, toh ye smartwatch apko single black strap option me available hogi.
Specifications
Amazfit Stratos 3 me milenge 80 sports mode and sath hi sath circular dial transflective display bhi present hai. Smartwatch me 1.2 gigahertz dual-core processor lagaya Gaya hai. Amazfit Stratos 3 India me launch kar di gayi hai. Jo ki 80 tracking feature sports mode ke sath ati hai. India se pehle yeh watch past year ke august month me globally launch ho chuki hai. Amazfit Stratos 3 circular dial ke sath aati hai aur isme transflective display bhi diya Gaya hai. More than this iss smartwatch me 5ATM water resistance bhi present hai, battery 14 days tak apka sath degi.
Aur Kya Milega Khas
Amazfit Stratos 3 smartwatch me 1.34 inch (320×320 pixel) circular dial transflective display ke sath corning gorilla glass 3 protection di gye hai. Yeh smartwatch 4 physical buttons, stainless steel dial aur silicon strap ke sath ati hai. Uske alawa iss smartwatch me hai 1.2 gigahertz dual-core processor and 512mb RAM, 2gb internal storage di gayi hai. Amazfit Stratos 3 smartwatch ki battery bhi kaafi achi hai. Ise lekar kaha Gaya hai ki jab aap iska use ultra-endurance mode me karte hai. Then yeh, 14 days ki battery life provide karti hai. And jab aap iska use smart mode me karte hai toh battery life 7 days tak jati hai. Continuously GPS mode ke use karne par accurate mode me yeh 35 hours. Balanced mode me 45 hours and power-saving mode me 70 hours ka backup deti hai.
Is smartwatch me 80 different-different sports mode diye Gaye hai. Jisme snow-boarding, outdoor skating, swordplay, etc. and so on games bhi present hai. Sensors ki baat kare toh isme Bio-tracker PPG bio-tracking optical sensor,6-axis accelerometer,3-axis geomagnetic sensor aur ambient lite sensor,etc present hai. Iske alawa isme VO2Max, exercise effects(TE),exercise load(TD) aur recovery time data tracking bhi present hai. Connectivity ke liye isme NFC,GPS/GLONASS,Bluetooth B 5.0 aur Wi-Fi 802.11 b/g/n present hai. Sath hi yeh smartwatch 5ATM waterproof bhi hai,.That means yeh smartwatch 50-metre deep water me bhi kaam karegi.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox Id=kajal]