Recently Bill gates ne interview mai kaha ki wo vaccine ka formula developing countries Ko nahin Dena chahta . Aur unhone especially India ka naam bhi liya. Ki Bharat mein covid-19 ki second wave bahut teji se spread ho rahi hai.
25th April ko Bill Gates ka interview hua with British news broadcasters sky News ke sath. Unhone Bill gates se question Kiya ki aap kya covid-19 vaccine ka formula developing countries ko Dena chahoge kyunki aapko Jaise pata hi hai poore world mein coronavirus ko lekar kitni mahmari hai.
Aur Bill gates ne answer make keh diya NO .
Unhone clear answer Diya NO aur uske bad unhone bahut sare reasons bhi rakhen:
BILL GATES REASONS FOR SAYING NO:
To Bill gates ne pehla reason diya ki poore world mein vaccine production ki factories hi limited Hai to ham formula dekar karenge kya .Or second reason unhone diya ki sirf technology ko transfer Karne se Kaam nahin chalega. Uske liye grants aur jo expertise chahie hote hain vo sirf US ke pass hai , developing countries ke pass nahin.
Aur bill gates ne apni statement per example bhi de Diya jaise agar j& j factory se agar ham vaccine ka formula Bharat transfer karenge tu ye Ajeeb hoga. Bill gates ne India ka example liya jis ko lekar bahut criticism Kiya ja raha hai kyunki India hi poore world mein sabse bada vaccine manufacturing hub banaa hua Hai.
CRITICISM AGAINST BILL GATES:
To Bill gates ke dwara grants and expertise ke bare mein Kahi gayi baat bilkul hi galat hai. Agar India ke pass factory hi nahin Hoti to wo World ka itna largest vaccine hub kaise Banta???
Yeh question media ke dwara isliye poochha gaya tha kyunki world ke alag alag areas mein vaccination ki shortage aai hui hai agar koi madad mil jaati to Shayad wahan bhi production jaldi shuru hota.
Kai logon ka manana hai ki bill gates vaccine ke dwara profit kamana chahte Hain.
Vaccine equity is need of the hour not vaccine profiting. #Bill Gates
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin