Why fully vaccinated people still get coronavirus?
Fully vaccinated hone ke baad bhi covid kyon Ho Raha Hai? Kisi bhi vaccine ko banane ke liye minimum 5 to 7 years ka time lagta hai . Isse jaldi Aaj Tak koi vaccine Bani hi nahin Thi hamare history mein. lekin covid vaccine 1 sal Mein hi ya usse kam mein hi ban chuki hai.
Ab vaccine to ban gai lekin ab hamara goal hai ki is jaldi se jaldi world Mein sabhi logon ke pass ise pahunchaya ja sake. Lekin dekha gaya hai ki vaccine lagwane ke baad bhi ye 100% effective nahin Hai.
Breakthrough Infection |Coronavirus
Breakthrough infection Ka meaning hai ki agar humne koi bhi vaccine lagva Li kisi bhi disease ke against aur uske baad bhi vah disease hamein Ho jaati Hai. Vaccination ki bhi apni Ek limitations hoti hai koi bhi vaccine 100% safe nahin rakh Sakta.
Vaccination Examples | Coronavirus
Agar Ham measles vaccine ke bare mein baat Karein . Tu Jahan par measles vaccination acche se lag chuka hai vahan par bhi hamen yah infection dobara dekhne Ko Mila Hai. Aur saath hi agar seasonal flu vaccine ki baat karein to log vaccination karate hai lekin uske baad bhi ye disease ho jaati hai. Lekin vaccination ka yah fayda hota hai ki agar vah disease hamen Ho bhi jaati hai to uska hamare upar severe effect nahin padega.#Coronavirus
But why this happen? | Coronavirus
Antibodies generally Y shape ki hoti hai. Antibodies Jis cell mein coronavirus present hota hai use neutralise kar deti hai taki vah coronavirus aur jyada hamare body mein spread na ho sake. T cells infected cells ko destroy karne ka kam karte Hain. Hamara human immune system alag alag person Mein different different hota hai aur yah hamare DNA ke upar depend karta hai.
Isi Karan se hamare body ke andar Jo effectiveness Hai vah bhi vary karti hai. Ye depend kar sakta hai ki is person ki health kaisi hai , aur kya wo pahle se koi medicine le raha hai ya fir nahin aur ye factor age ke upar bhi depend kar sakta hai. Aur vaccination Ke baad jo hamen thoda bahut side-effect dekhne ko milte Hain jyadatar people mein hi dekhne ko milte Hain.#Coronavirus
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin