Adani Green Energy Ltd. ka share price market me continuously surge par hai. Monday ko hi Adani Green Energy Ltd. ka share price 5% se rise kar gaya tha aur ab per share price Rs. 1251 par aa chuka hai.
Also read : 24 March Ko Open Hoga Barbeque Nation Ka IPO, Jaaniye Price And Baki Details
Performance
Current Financial Year me Adani Green Energy Ltd. is saal market ke top stocks me shaamil hai aur returns ke mamle me sabhi stocks ko piche chod diya hai. Is Financial Year ki beginning me Adani Green Energy Ltd. ka per share price sirf Rs. 152.90 tha but tabse aaj tak, price 718% se skyrocket karke Rs. 1251 apiece ho chuka hai. Even aaj bhi Adani Green Energy Ltd. ke stocks 5% circuit me lock huye hai.
Also read : Jaaniye Kya Hai KreditBee And Kya Ise Use Kar Sakte Hai
Rise Ka Reason
Aaj subah hi Adani Green Energy Ltd. ko Letter of Award (LOA) hai for their 300 MW project aur ye khabar market me ate hi share prices skyrocket kar gaye. Ab Adani Green Energy Ltd. ki total renewable capacity 15165 MW ho chuki hai jisme se 3395 MW plants operational hai aur 11770 MW projects under implementation hai. In intraday trades, abhi tak 30,000 shares Bombay Stock Exchange par trade ho chuke hai.
Also read : Jaaniye Konse Stocks Me Invest Karna Hoga Is Time Unsafe
New Projects
Adani Green Energy Ltd. rapidly apne portfolio me naye projects aur plants add karta ja raha hai. Last week, Adani Green Energy Ltd. ne announce kiya tha that unhone SkyPower Global ke 50 MW operating solar project ka 100% stake acquire kar liya hai. Ye project Telangana me based hai aur 2017 me commission hua tha. Adani Green Energy Ltd. ne BSE press release me ye state kiya tha ki company ab 1.69 GW ke hybrid portfolio of solar aur wind renewable projects ko finance karegi jo ki Rajasthan me setup hone jare hai.
Also read : Zomato Stock Market Me Utarne Ko Ready
Ab Rv Talks telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook | Twitter | Instagram | Linkedin