Panic in AMU University as 18 professors die of covid in 20 days
AMU university ke 18 professor ko corona ne maut Ke Ghaat utaar Diya Hai. Professors ho , students ho corona ne kisi ko bhi nahin chhoda sab Ko Apne kabje mein kar Liya. Or yeh Mana ja raha hai ki AMU university ke area mein corona ka ek bhayankar variant mojud hai.
Professors Of AMU University
Shadaab Khan 50 year old doctor and head of medicine department. Shakil Ahmad samdani 59 ,Dean at the faculty of law. Khalid bin Yusuf ,60, noted Sanskrit scholar and the first Indian Muslim to earn a PhD in the Rigveda. Yeh un saare renowned professor mein se kuchh teen professor Ke Naam Hai Jo ab hamare beech nahin rahe corona ki vajah se. Is coronavirus Ke Karan ab hamare beech kuchh mahan hastiya nahin Rahi.Aur ye last 20 days ka data aapke saamne hai AMU University ke.
Panic In AMU University
Incases ki vajah se Poori ki poori AMU University mein panic and gloom ka mahool Chhaya hua Hai. AMU ke campus ke aaspaas pichhle 3 weeks mein total 40 deaths ho chuki hai due to coronavirus. Jinme se AMU ke atleast 16 serving and 18 teachers , besides other staff tha. Itni jyaada death ek hi area mein ho rahi hai to isi karan se AMU ke vice chancellor Tariq Mansoor ne ICMR se request ki hai Ki Ek bar aap yahan Ke variant ko study kijiye.
Vice Chancellor Of AMU University
AMU university ke vice chancellor Ke bhi brother ki mrityu last week covid-19 se ho gai thi unhone ICMR ko likha ki aap virus ke samples ko analyse kijiye . Kyunki agar variant Ka pata chal jata Hai To kuchh aur jyada steps le jaenge isse bachne ke liye.Kyunki itni sari deaths Ko dekhkar Aisa Mana ja raha hai ki Aligarh campus ke around kuchh bhayanak virus faila hua Hai jiska mortality rate high hai.
Corona dheere dheere failta ja raha hai aur uske ab alag alag version nikalte ja rahe hain. Jo ki pahle se jyada khatarnak hote ja rahe hain. Jaise ki aap sabhi ne Suna hoga second wave first wave ke muqable jyada Khatarnak hai.
Students Situation In AMU University
Lockdown restriction ki vajah se physical classes Mana Hai Aur online classes ho rahi hai. Aur ab to coronavirus ki aisi khabrein sunkar aur college ke professor Ke Hi death Sun kar online classes bhi Lena mushkil hota ja raha hai. Teachers hamare guide hote hain mentor hote hain philosopher hote Hain. Aur ekadam se Unka chale Jana covid-19 Ki vajah se hamare liye bahut bada dukh Ka Karan hai.AMU University ke students se behtar kon samjh sakta hai is dukh ko.
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin