in

WowWow

Bihar Ki Ek Aur Khas Upaj Marcha Dhan Ko Mila GI Tag, Farmers Ko Milenge Benefits

Bihar Phir Se News Me Bana Hua Hai, Par Khas baat hai iss baar politics ya crime ke lie nhi. But is baar kishano ki vajah se aur unki mehnat ke chalte bihar news me bana hua hai. Well bihar ke kishano ke lie khushkhabri vali baat hai ki bihar ki upaj ko ab international market me achi pehchan milne vali hai.

Marcha dhan ko mila gi tag bihar ki hai khas upaj

Bihar's Marcha Dhan rice obtains Geographical Indication (GI) tag, ensuring better prices for farmers. Learn about its unique attributes and significance.

bihar ke west champaran me upjane vaale marcha dhan ko central governement ne last saturday ko geographical indication (GI) Tag diya hai.Kaha ja rha hai GI tag milne ki vajah se farmers ko ache rates milenge apni fasal ko bechne pe. Jo ki dekha jae farmers ke lie rahat ki baat hai.

But Aisi Kya Khas Baat Hai Iss Dhan Me?

Aapko bata de marcha dhan apni kae khasiyato ke chalte popular hai. Ye baaki dhan ki fasalo se size and shape me kaafi alag hai. Ye size & shape me Kaali Mirch (Blakc Pepper) ki tarah hota hai. And because of that only iss dhan ka naam mircha or marcha dhan pada. ye smell wise bhi baaki dhano se kaafi alag hai, iski smell kaafi anokhi aur manmohak si hai.

Marcha Dhan 6th aisi upaj hai jisko central government ne GI tag diya hai. Isse pehle Mujaffar Nagar ki Lichi, Bhagalpur ke Jardaalu Aam, Katarni Chawal, Mithila ke makhane ko bhi GI tag mil chuka hai.

Marcha Dhan Ke Naam Ke Peeche Ka Raaz?

DM Dinesh Kumar ne isse related bataya ki Marcha dhan bihar ke west pancharan district me local level pe pae jaane vala chawal ki prajati hai.ye dikhane me ek dam kaale mirch ki tarah hoti hai because of that isko mircha or marcha dhan bolte hai. Unhone ne bataya ki local level pe ise mircha, machya, mareechi aur bhi kae type ke naam se bola jata hai. Marcha dhan ke paudhe se lekar anaj aur guchhe tak alag si khushbu hoti hai jo isko ek dam hi alag bana deti hai. West champaran district ke ander chanpatiya, mainatand, gaunaha, narakatiyaganj, ramnagar aur lauriya jaise areas is chawal ke prominent manufacturer hai.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

23 Points
Upvote Downvote

Written by Tannu Sharma

Mumbai-Pune Expressway par weekend ke dauran 10 km lambi traffic jam hui jisme hazaro gaadiya phasi rahi.

Mumbai-Pune Expressway Par Traffic Jam: Kya Aap Bhi Phanse?