What is the heat dome causing record-breaking temperatures in US, Canada
What is heat dome? | Canada
Canada Mein 800 se jyada logon ki death ho chuki hai heatwave ki vajah se. Aur yeh heatwave ek specific weather phenomenon se Hui Hai Jiska Naam Hai heat Dome. Western Canada Main severe heatwaves dekhne ko Mili Hai. Portland city in Oregon United States of America vahan par temperature 46 degree ho chuka hai.
Portland city in Oregon | Canada
June 29 ko Portland mein temperature 46.7 degree Celsius dekha gaya tha. Jo ye abnormal heatwave dekhne ko Mili Hai canada mein iska temperature ab 49.5 degree Celsius Tak record Kiya ja sakta hai. Aur weather experts iska blame heat dome effect par Laga rahe hai jisse ki temperature mein itna sudden rise hua Hai.
What is heat dome effect? | Canada
The national oceanic and atmospheric administration ka kahana hai ki heat dome ko samajhne ke liye sabse pahle Pacific Ocean ko ek bahut bada swimming pool samajhiye. Agar Ham Pacific Ocean ko to pass mein divide kar de to Ek taraf Ho Jayega Western Pacific Ocean aur dusri taraf eastern Pacific Ocean. Or ye dekha ja raha hai ki Western Pacific Ocean ka temperature eastern Pacific Ocean Ke mukabale badhta ja Raha Hai.
Jiske Karan high and low pressure generate ho jata hai Or saari warm heat / air mass eastern Pacific Ocean ki taraf jaane lagta Hai. Jiski Karan garam hawa ka Ek Dome ban jata hai aur uske Charo taraf jetstream hoti hai jo use trap kar leti Hai. Aur yahi heat dome aur jyada garam hota ja raha hai.
Venus | Canada
Agar Venus ke sath ise compare kiya jaaye to jo venus hai vah hamare solar system ka hottest planet hai because it’s thick dense cloudcover jo heat ko trap kar lete hain aur temperature ko badha dete Hain as high as 471 degree Celsius. Jab heat dome create ho jata hai to heatwaves ki situation bhi create hone lag jaati Hai.
May- June month mein hamein heatwaves dekhne ko milte Hain Northern hemisphere mein. High humidity ke saath jab heatwave Hoti Hai To vah bahut jyada Khatarnak Ho jaati Hai. #Canada
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin