in

Challenges faced in Online Classroom

Corona ke aa jane se pure world me kaafi unique and unpredictable mahol bann gaya hai. During this time har business sector, iske wajashe affected tha. Har sector ko kaam continue karne ke liye ek naya tareeka apnana pada. Even education sector ko bhi aisa hi kuch karna pada – Online classroom. And aisa pehli baar hua tha pure world me, ki saare baccho and teachers ko online classroom se help leni padi. Parents ko bhi flexible hoke baccho ke schools ka sab arrangement karna pada.

So offline se online classroom shift hone me kaafi challenges aayi.

Internet connectivity

Even though almost sab internet se jude huye hai n use bhi karte hai but phir bhi kaafi logo ko connectivity ke wajahse issues aayi. Plus corona ke wajahse kaafi log apne hometown ya village chale gaye the, jaha internet abhi bhi slow hai. Online classes ke liye yeh strong and fast internet is compulsory. Iske na hone se kaafi students ne suffer kiya hai.

Infrastructure

Most of the families me mobile phones and laptops share kiya jata hai. So jab online lectures hone start huye toh device ko kaise share kare? N un gharo ka kya jaha 2-3 bacche hai. Sare parents individual device nahi afford kar sakte hai. Plus every device needs strong internet. isse bhi bahut issue create hua hai. Agar time pe class join nahi kiya toh who pura lecture unka miss ho sakta hai.

Adaptability

Younger generation of students and older generation teachers ko yeh new methodology ko adapt karne me bahut problems face karni padi. And teachers ke upar extra pressure tha ppt bananeka. So aged teachers toh kaafi stress me the kyunki unhone pehle kabhi computer pe itna kaam nahi kiya. Plus video call pe sikhane ke liye proper set up wagera hona zaroori hai. 1-8th std tak ke baccho ko bhi yeh sab kuch naya experience tha. Dosto ke saath jo maza aata hai who kuch bhi enjoy karne nahi mila unhe. Additionally assignments bhi unhe online hi karna pad raha hai.

Learning

Online learning ke through yeh ensure ho paya ki students ki education continue hosaki. Warna lakhs of students ka 1 year waste jaa sakta tha agar schools permanently shut rehte toh. Moreover video lectures ke through kaafi teachers ne interesting diagrams, short videos include karke learning ko aur bhi fun banaya. Students ki understanding check karneke liye at the end of every lecture, short quizzes bhi organize karte the. Isse teachers ko student ke attentiveness and understanding level ka accha idea milta hai.

Online classroom could be the future of education. So yeh bahut zaroori hai ki teachers, students and parents ko properly equip kiya jaaye. Proper assistance and infrastructure bahut zaroori hai. Teachers ko softwares ka proper knowledge dena chahiye, jisse who apna lectures and study material banana me help le sake. Students ke liye bhi ensure kare ki woh acchese samjhe n na samjhe toh teachers se doubts clear karwake le. And parents should also take responsibility ki who yeh ensure kare ki unke bacche lectures properly attend kar rahe hai and naaki apne phones ya kuch aur karne me busy hai.


What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

On Weekend Make Chicken Tikka With Simple Recipe

Hina Khan Wish To Explore The Digital Space Next Year