in ,

OMGOMG WowWow

Chandu Champion Ke Box Office Par Champion Banne Ki Raah Mushkil, Thandi Advance Booking Ke Chalte Karna Pada Ye Kaam.

‘Everyday Is Not A Sunday’ Ye Kahawat Kartik Aryan Ke Liye Sach Hoti Nazar Aa Rahi Hai, Jab Unki Aane Wali Film Chandu Champion Advance Booking Me Rengti Hui Nazar Aayi. 14 June Ko Film Release Honi Hai Aur 13 June Ki Raat Tak Film Ne 1 Crore Ki Advance Booking Bhi Nahin Ki Hai. Aise Me Film Ke Chalne Ka Poora Daromadaar Ab Public Word Of Mouth Par Hi Hai. Film Ke Paas Bakrid Ki Chhutti Ki Wajah Se 4 Din Ka Weekend Hai, Lekin Wo Tabhi Kaam Aayega Jab Public Film Dekhne Ke Liye Theatre Jayegi.

Chandu Champion

Halanki Inki Kuch Saal Pahle Aayi Film Bhool Bhulaiya 2 Ka Bhi Starting Me Yahi Haal Hua Tha Lekin Film Blockbuster Rahi Thi, Par Uske Baad Aayi Unki Filmen Shahzada Bhi Flop Thi Aur Satya Prem Ki Katha Bhi Average Hi Thi. Isiliye Unke Upar Ye Kahawat Fit Baith Rahi Hai, ‘Everyday Is Not Sunday.

Champion

Ye Film Bharat Ke Pahle Paralympic Gold Medal Winner Murlikant Petkar Ki Biopic Hai. Film Me Unke Hausle Aur Dedication Ko Exhibit Kiya Gaya Hai. Armed Forces Me Service Ke Dauran Ghayal Hone Ke Baawjood Unhone Apne Junoon Ko Nahin Marne Diya Aur Yahi Wajah Hai Ki Aaj Unki Life Par Ek Film Ban Rahi Hai.

Chandu Champion

Kartik Ne Is Film Ke Liye Gajab Ka Body Transformation Kiya Hai. Film Ke Director Kabir Khan Ke Mutabik Kartik Ne Apni Body Fat 7% Ke Minimum Standard Tak Pahuncha Diya Hai. Isse Saaf Pata Chalta Hai Ki Kartik Ne Is Film Ke Liye Kitni Mehnat Ki Hai. Ye Mehnat Parde Par Dikhe Aur Public Theatres Me Ise Appreciate Kare To Unki Mehnat Safal Maani Jayegi. Filhaal To Ab Film Ke Release Hone Ka Intezar Hai.

Chandu Champion

Film On Its First Day At Just 150

Chandu Champion

Film Ki Is Tarah Thandi Advance Booking Ke Chalte Makers Ne Public Ko Theatres Tak Le Jaane Ke Liye Pahle Din Film Ko 150 Rs Me Hi Dikhane Ka Ek Gamble Liya Hai. Halanki Film Ke Budget Ke Hisab Se Ye Price Appropriate Nahin Hai Lekin Makers Ko Shayad Content Par Bharosa Hai Aur Wo Isi Ummeed Ke Sath Ye Gamble Le Rahe Hain Ki Jyada Public Ke Aane Se Jyada Feedbacks Aayenge Aur Ek Baar Film Ka Word Of Mouth Achha Ho Gaya Fir To 4 Din Ke Weekend Me Film Ki Nikal Padegi. Film Ki Ek Special Screening Ke Dauran Murlikant Petkar, Unke Bete Aur Audience Bhi Roti
Hui Nazar Aayi Thi, Agar Yahi Impact Film Theatre Me Bhi Chhodne Me Safal Hoti Hai To Ye Film Ke Liye Bahut Achhi Baat Hogi. Filhaal To Abhi Sab Kuch Film Ke Content Aur Word Of Mouth Par Hi Depend Karta Hai. Let’s See Aage Is Film Ke Sath Kya Hota Hai.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Blood Donation Kyon Hai Jaruri, Is Dauran Kya kya Rakhen Savadhaniyan ?

https://hinglishgram.com/

Bharat Ka Wo Aakhiri Railway Station Jahan Ek Bhi Train Nahin Rukti.