Is article me ham cover kar rahe hai Christopher Nolan Ke Career Ki Sabse Mehngi Film ke 6 interesting baato ko jihne aapko janna jaruri hai.
Kya Hai Tenet?
First of all Master Filmmaker maane jaane vale Christopher Nolan ki next movie ka naam hai. And jaha tak film me is nam ke role kascene hai to trailer dekh ke aisa lagta hai ki kisi tarah ka code hai ye. Ek aisa code jise kae darwaze khul aur band hojaege. But aise bhi chances hai ki ye kisi organization ka nam bhi ho sakta hai, jo duniya me evil forces se ladti hai. Jis duration me ye ‘Tenet’, ka zikar hai vha world war 3 ya usse bhi kuch bura hone ki ashanka hai. And duniya ko bachane ka ek lauta weapon hai – Tenet.
Kya Hai Kahani Movie Ki ?
Iska answer janne se pehle ek majedar kissa jaan lijie. Is movie ki script kisi bhi actor ke pass nahi hai. Although aam taur pe actors ko script di jaati hai and actors unhe apne pass rakhte hai. But makers ne har ek actor ko kamre me band karke script padhne ko di thi. As in kisi ko bhi allow nhi tha script ghar le jana. To aise me aapko kya lagta hai makers movie ki story ka hing bhi denge! But trailer se movie ke kuch basics samjh me aate hai ki story kya ho sakti hai.
Jaise ki ek Russian terrorist hai, vo future me jakar uske bare me jaan sakta hai. And apne isi talent ko use Karna chahta hai vo world war 3 ko start karne ke lie. But use rokne ke lie ek Mahir agent ko bulaya jata hai. And use scientists ke sath rakh kar train kiya jata hai time travel ke lie in short time inversion sikhai jati hai. But not like “Back to future” time-travelling machine vali. Ha, Thoda Thoda doctor strange vala touch hai. So that Russian terrorist ko rok sake and Duniya ko bhi bacha sake. So easy hai na?
Trailer Kuch Aaya Samajh Me?
‘Memento’ and ‘Inception’ ki mili bhagat, jo trailer se kisi science fiction jaisi hi lagti hai. Ye film poori Tarah se time ke sath khurpechi vale concept pe lagti hai. But makers ka kahna hai ki ye ek International spy ya Espionage thriller hai. Bhai kisi bhi Genre ki ho ye film Kul Mila ke samjh lijie hai to Christopher Nolan ki hi. Halaki jab bat kare Inception jaisi movie ki to shayad apko samjh me na hi aae ho. But Nolan ka motive clear rahta hai ki movie Aisi ho jo sabke samjh me aae. Khair trailer to Kafi bikhara hua hai so aap andaza nahi laga sakte kya hai story but umeed karte hai hai baaki ki movies ki Tarah ye bhi Christopher Nolan ki Behtareen movie ho.
Kaam Kaun Kar Raha Hai?
Oscar-winning film BlacKkKlansman me Ron Stallworth Naam ke police officer ka role karne vaale John David Washington as lead actor work kar rahe hai. Ye vo hi agent bane hai jise scientist training denge is movie me time travelling ki. And Inka sath denge ‘Harry Potter’ and ‘Twilight’ fame Robert Pattinson. Inke alawa Batman trilogy me Bruce Wayne ke Butler and Father Figure Albert Pennyworth ka role karne vaale Michael Caine is movie me important role nibha rahe hai.
‘The Great Gatsby’ and ‘Guardians of the Galaxy 2’ me Kam kar chuki Elizabeth Debicki and ‘127hours’ fame Clemens Puzi bhi dikhengi is movie me. Film ke main villain us Russian Terrorist ka role Kenneth Branagh kar rahe hai. Inhone Shakespeare ke sabhi natako pe bani filmo me Kam kiya hai. And iske alwa Woody Allen ke ‘Celebrity’ and Nolan ke hi Dunkirk me bhi Kam kiya hai. And insabke alwa Apni Boby girl Dimple Kapadia bhi hai hai.
Also Read: Christopher Nolan Ki Tenet Ka Trailer Hua Release
Bane Kisne?
‘’Tenet‘ ko Christopher Nolan ne likha and direct bhi kiya hai. Nola ne ab tak almost 10 filme bane hai. ‘Tenet’ unki 11th film hai. As director inhone, apna debut ‘Following‘ se kiya jo ki 1998 me aae thi. Thereafter inki second film ‘Memento'(2000), and Aamir Khan ki ‘Gajini‘ (2008) nhi isi se inspired hai. But ye dono hi movie inke lie kuch khaas na thi jab tak inke haath Batman Series na lagi. Nolan ki Direction me aae ‘Batman Series’ ne unhe mainstream cinema ke top filmmakers ki list me daal diya. Khair iska baad unhone ‘The prestige’ and ‘Inception‘ jaisi films banae. ThenMatthew McConaughey starer space drama ‘Interstellar‘. Nolan ki last movie thi War survival-based movie ‘Dunkirk‘ Rahi jisne 3 Academy Wards bhi jeete.
Aane Ki Taarikh?
Vaise to makers ne release date 17 July batae hai. But dekhne wali baat hai ki Coronavirus ke is bhayankar situation me Kaise hogi release. Although Hollywood ke har ek bade makers ki Sitti Pitti goom hai. Corona Virus ko dekh ke that’s why sabhi ne apni upcoming ko kar diya postpone. But ‘Tenet’ ke makers Abhi bhi adig hai apne faisale pe. As in 2-month se bhi kaafi Kam ka time bacha hai release ko. Abhi dates ki changes ko leke kuch kaha bhi nahi gya hai makers ki Taraf se. But 22 may ko release hue trailer me date mention nahi tha sirf coming soon in theatres likha tha. That means release to sirf theatres me hi hogi na ki digital platforms pe.
Nolan ke career ki sabse mehngi movie ke chalte ye to tay tha ki theater me hi release hogi. But dekhna ye hoga ki 17 july ko hi release hogi ya postpone.
‘Tenet’ ka trailer yaha dekhe:
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin