in

WowWow

Kanoon For Climate Change

climate change laws

Aaj Tak humne sune the Keval Immigration law ,Bankruptcy law, patent and copyright laws ,Civil Rights, Voting Rights Act etc. Par ye Climate Change Laws to pehli bar hi sunne Ko mil raha hai jisko introduce Kiya Hai NewZealand ne.

Jaise ki humein pta hai climate change major problem hai aaj pure world mein. Ham industries to establish karte ja rahi hai lekin unki vajah se jo carbon dioxide emit hoti hai aur jo hamara vatavaran kharab ho raha hai din par din uski taraf To ham Dhyan hi nahin de pa rahe.

RULES OF CLIMATE CHANGE LAWS


New Zealand pehla Ek Aisa Desh Hai Jo Climate change laws ko lekar a raha hai jisme Jo bank ho , insurance companies ho , insurance managers ho unhein report Deni hogi ki jo climate change se Unke business per kya impact padh raha hai.

Is tarah ki financial firms ko poori report banakar submit karni hogi.Agar koi company un reports ko dene mein fail hoti hai to unke khilaf action lia jayega aur unhe explain krna hoga reason poora.

AIM OF CLIMATE CHANGE LAWS


New Zealand government ka aim hai ki wo carbon neutral ho jayen 2021 tak. Aur New Zealand ki government fossil fuel vehicle se electric vehicles ki taraf shift karna chahti hai. Aur unhone yah sab middle of decade Tak Karne Ka faisla liya hai.

2 December ko New Zealand ne climate emergency lgai thi aur wo aur desho se bhi yahi chahta Hai ki wo bhi Apne Desh mein yhi Karein. Kyunki aajkal ham bahut hi extreme weather situations face kar rahi hai jaise ki ham dekh pa rahe Hain ki Mausam mein Kitna badlav dekhne Ko milta hai .

Climate change - Wikipedia


Abhi recently UK mein April mein baraf gir rahi hai. Or agar ham Apne Desh ke Jammu and Kashmir ke baat karen to April Tak temperature increase ho jata hai lekin abhi tak ka thand thi vahan. Humein har jagah yahi extreme weather conditions dekhne ko mil rahi hai. weather condition ke Karan hamare environment mein itna imbalance ho chuka hai. Jiske Karan hamare wildlife per bhi bahut bada impact padh raha hai hamari itni species to extinct bhi ho chuki hai.

Hamen is Law aur emergency ki requirement hai .Taki hum is badhte climate change ko jaldi se jaldi rok sake iske liye ham sabhi ko milkar steps uthane hai. humein sabhi ko New Zealand ke climate change laws ko apnana chahiye.

This is why fighting climate change is so urgent | Environmental Defense  Fund
Glaciers Melt


New Zealand ne situation ko dekhte hue sabse major focus rakha Hai largest and most active coal boilers. Wo chahte Hai ki ham jaldi se electric aur hybrid vehicles per shift ho jaaye. Isike upar new Zealand government ne NZ$200 million lgaye hai.

Scientists ka kehna hai hamare pass Keval 9 se 10 sal hi bacche hai global warming emission ko half karne ke liye. Agar ham apne is sundar se planet ko bachana chahte Hain Jo ab Puri tarike se degrade ho chuka hai.to humein climate protection ke liye Climate Change Laws jaise steps lene honge.

California to extend climate change law by 10 years • Earth.com

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by SG

swine fever

One More Virus African Swine Fever !!! Ab Isi Ki Kami Thi Bas

oxygen leak in nashik

Oxygen!! Oxygen!! Oxygen!!