Covid-19 ka second wave India mein bohot kharab tareeke se spread ho gaya hai. Whatsapp ka aek group nahi hai jaha oxygen cylinders ki requirement na ho aur ros kisiki positive test hone ki news nahi aati hai. India mein jabhi 3 lakh se zyada fresh cases aa rahe hai per day aur vaccination bhi maximum logo ke liye chalu nahi hua hai toh aapko maximum care lena padega.
Aur uske bawajood bhi aap Covid-19 positive test ho chuke hai aur unders doctors supervision theek ho chuke hai toh iska matalab yeh nahi hai ki aap firse khel kood sakte ho. Aapki body aek worldwide spread virus se just recover hui hai, aur aapko apni immunity firse top level par lana hai!
Here Are Some Do’s And Don’ts Which Will Help In Post Covid-19 Recovery:
Do’s:
- Get Some Sun Exposure.
- Do take a vitamin-D supplement.
- Immunity boosting food lijiye.
- Roz thoda apni body ko move kijiye, maybe a walk or some yoga.
- Give your self enough rest.
- Apne apko 7-8 hours ka sleep dijiye.
- Do some breathing exersises.
- Apne friends aur family se baat kijiye on how you feel.
Don’t s:
- Refined foods ko apne diet se nikal dijiye.
- Fried food ko avoid karein.
- Heavy lifting aur rigrous exersise ko avoid karein.
- Apni sleep ko compromise karna avoid karein.
- Caffeine over use karna avoid karein.
- Sugary drinks jaise ki pesi, cola etc avoid karein.
Balanced diet and energising foods lene se body ki immunity improve hoti hai. Covid-19 aapke lungs pe kaafi affect karta hai toh thoda breathing exercise se lungs firse strong ho jata hai.
Happy Foods like Dark chocolate, dates, nuts aur bananas khane se mood bhi improve hota hai.
Mild exersise like walking, some pushups, planks and squats karne se aap apne fitness levels ko bhi covid-19 se recovery ke baad in-check rakh sakte ho. Aur kisi bhi exersise ke baad stretching for cool down bohot hi important role play karta hai. Do consult your doctor before starting any exersise.
Covid-19 | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin