India me aaj se Covid-19 ka second stage vaccination chalu hogae hai. Aaj se aam janta bhi iss vaccine ko lagva sakegi. Currently 60 saal se jyada ki umra vaale log aur 45-59 saal ki age vale log jinhe kisi bhi type ki serious bimari hai vo covid-19 vaccine lagva sakenge. However, isse pehle logo ko CoWIN 2.0 app ko install kar uske through registration karvana hoga.
Aapko bata de second stage ki vaccination ke lie CoWIN 2.0 portal par subah 9bje se hi registration start hogya tha and Dopahar 12bje se vaccine lagna bhi start hogae. Along with that Government ne ek user manual bhi release kiya hai Registration aur Appointment ko lekar. And aaj subah PM Narendra Modi ne bhi Vaccine lagvae hai.
Vaccine Lagegi Kaha Par
Ayushman Bharat PMJAY ke tahat 10,000 se bhi jyada private hospitals aur CGHS ke tahat 600 se bhi jyada hospitals ko state scheme ke tahat as corona vaccination center add kiya gaya hai. Moreover jitne bhi government medical centers hai vaha Covid-19 vaccination free hogi.
Covid Vaccine registration ko lekar max logo ko abhi tak koe bhi information nahi hai. especially vo log jinhe internet aur app use karna nahi aata hai. Well aise me aap apne parents aur budhe relatives ko 5 tareeke se aap ki information de sakte hai.
Registration Kaise Karvae
- Covid-19 ki vaccine lagvane ke lie registration compulsory hai. For that aapko CoWIN 2.0 ya Aarogya Setu App ki help leni hogi. And agar aapko app use karna nahi aata then aap simply www.cowin.gov.in portal par ja kar registration kar sakte hai.
- Registration karte waqt apko apna mobile number dena hota hai, so that OTP ke through aap apna account create kar sake. After that aapko as per the document apna naam, age, gender aur address dena hota hai. And for proof purpose aapki ID bhi lagegi.
- 45-59 tak ke serious diseases vale logo ko Comradity certificate lagana jaruri hai.
- Vaccine kaha aur kaise lagegi and kis din lagegi ye aap khud apne sahuliyat ke according choose kar sakte hai. As in ye saare hi options aapko aap me milenge.
- Aur ha sabse khas baat ek mobile number se maximum 4 registration ho paenge. Agar aap 4 logo se jyada hai then doosra number use karna hoga. Baaki aur information ke lie 1507 pe call kar ke vaccination ke baare me jyada jaan sakte hai.
Documents Kaun Se Lagenge.
1. Adhar Card
2. Voted Id (EPIC).
3. Photo ID Card
4. Comradity Certificate/Letter agar aap 45 se 59 ki age ke hai aur kisi serious diseases se diagnoised hai.
5. Employment certificate / official identity
Free Me Hai Ya Paise Padenge
Corona Vaccine yu to free hai but sirf government medical centres par. Agar aap private hospitals se ise lete hai then ye aapko National Health Scheme ke tahat sirf ₹250 ki padegi. Aapko bata de vaccine ki cost-breakup sirf ₹150 hai but aapko ye hospitals par ₹100 service tax mila kar milegi ₹250 me.
Government ne ek list bhi jaari ki hai jisme serious diseases kaun si consider ki jaengi vaccination ke dauran vo mentioned hai. Central Health ministry ne jo list jaari ki hai unme total 20 diseases ki baat kahi gae hai. Inme Diabetes, Hypertension, Leukemia Bone Merrow, Kidney, Liver and Heart se related bimariya hai.
Rv Talks ab telegram par bhi paae latest update hamare telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin