in

LoveLove

Daily Practices Jinhe Apnana Hai Jaroori

Daily Practices that will help you maintain your mental health during lockdown

1) Maintaining a normal routine | Daily practices

Ek routine maintain karne se aapko bahut help milti hai. Or routine ka matlab ye bilkul nahin hai ki aap bus Apne office work ya fir Apne study work main mein hi busy hai. Routine ke andar hamen apni hobbies aur daily practices per bhi Dhyan Dena chahie. Like humein daily meditation karni chahie aur hamari koi bhi hobbies ho sakti hai like badminton khelna , drawing banana ya kuch bhi humein unhe follow karna chahiye.

Simply kahe To hamein apne liye bhi Apne busy schedule se kuchh time nikalna chahie. It helps to reduces our stress during this lockdown period . Aur sab se main point Ki kisi bhi kam ko aise nahin sirf jaldbaji mein hi shuru kar diya jaaye .Apne poore din Ka schedule hamein starting mein hi banana chahie uske bad hamein aur work karne chahie.#Daily Practices

How to Create a Daily Routine That Works For You

2) Take a break from social media | Daily Practices

Agar ham social media Ki baat karen to aajkal is second wave of covid 19 ke chalte har jagah har news channel par sirf yahi news hai ki yahan per ICU beds ki shortage hai, yahan per oxygen ki Kami Hai, itne patients ki death Ho gai ,ab thirdwave aane wali Hai ,kahin To vaccine ki shortage bhi dekhne ko mil rahi hai.

Matlab news channels par har Jgah negativity hi dikhai ja rahi hai. Joki hamare mental health par bhi negative impact daal rahi hai. Tu ye sabse zaroori hai ki social media se kuchh Dinon ke liye break liya jaaye aur sone se pahle to bilkul hi social Media ka use na kiya jaaye.#Daily Practices

It's OK to Take a Break from Social Media and How to Detox
Time for break

3)Pick up a quarantine hobby | Daily Practices

Is pandemic situation mein quarantaine hobbies ka hona bhot jaroori hai kyunki jaisa ki hum dekh rahe Hain news channels per Ki har hafte yah lockdown ko badha Diya jata hai. To quarantine hobbies ke andar aata hai painting, dancing, an art form or anything jo bhi aapko karna pasand Ho.to apni Daily Practices mein in hobbies ko jroor apnaye .

These are very important or ye hamare personal interest ko create karne mein bhi help krenge . Humein aisi hobbies ko Daily Practices mein apnana chahiye jo humein creatively busy rakhe na ki sona , game khelna in mobile phones . In sab ko chodkar creative hobbies ki traf kadam badhane chahiye.

7 New Quarantine Hobbies Vogue Editors are Obsessed With | Vogue
Quarantine hobby

4) Exercise| Daily Practices

Basic stretching exercises or yoga in this lockdown period is very helpful. Kyunki yah sabhi cheezee hamein positive vibes deti hai aur sath hi sath acche thoughts bhi. To aap sabhi bhi Apne Daily Practices mein exercise ko apnaiye aur khush rhiye .

The Mental Health Benefits of Exercise - HelpGuide.org

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

What do you think?

Written by SG

Migrant Workers Par Lockdown Pada Bhari

Hairstyle

Hairstyle: Ranveer Singh Se Lekar Harry Styles Tak Here’s How To Experiment With Your Hairstyle.