Depression ek aisi problem hai jisse na jaane kitne log jujh rahe hai. But koe bhi ise serious nahi leta because unhe lagata hai log unhe pagal samjhenge. Depression kae types ke hote hai. Kabhi-kabhi ye kuch time ke lie rahta and kabhi kaafi bhayanak ho jata hai. ye situation life me tab aati hai jab aap charo taraf se negativity me doobe rahte hai. And jab ye negativity sar ke upar chali jaati hai then inshan ko apni life bekar lagane lagti hai. Jab dimaag ko proper rest nahi milta and day by day pressure me rahta hai. That time person poori tarike se depression ka sikar ho jata hai.
Depression Bhed-Bhav Nahi Karta
Ji sahi padha aapne, Depression hamare samaj ki taraf bhed-bhav nahi karta. Bacche, Budhe & Jawan har kisi ko Kabhi bhi apne chapet me le sakta hai. Kyuki ye na aapka Dharm dekhta hai na jaat aur na hi Umra iske lie sabhi equal hai. Studies, career and relationship ki tension ne yuvaon ko bhi depression ka sikar bana diya hai. And kam age me jyda tension lene vaalo ko aage chal kar kaafi serious situation ka Samana karna padta hai.
Hormones Ko Karta Hai Imbalance Karta Hai
Due to tension body me kae hormones ka level increase hone lagta hai. Jinme Adrenaline aur Cartisol pramukh hai. Depression Kafi serious condition hai. However, it’s not a disease but is baat ka hint hai ki apki body and lifestyle unbalanced hogya hai. Depression ko mental illness bhi kaha jata hai. But iske symptoms aapko bahar se nahi dikhai dete. Chalie aapko batate hai iske symptoms ke baare me.
Negativity
Depression ek tarike se brain pe effect karta hai. Just because vyakti har time negative sochta rahta hai. And jab ye negative top-level tak pahuch jati hai then vyakti ko apni life aimless lagti hai. Iske alawa hamesha Inferiority complex se suffer karna bhi main symptoms me se ek ho sakta hai.
Kaam Me Man Na Lagana
Depression ka main symptom ye bhi hai ki vyakti har waqt pareshan rahta hai and that’s the reason kaam me man nahi lagta hai. Normal sadness isme include nhi hota. But kisi kam ya chiz me man na Lagana, koe Interest na hona. Ya phir kisi bat se koe Khushi na hona aur to aur udaasi ka ehsas bhi na hona depression ka hi symptoms hai.
Prevention Kaise Hoga
Sabse pehle kisi bhi chiz ke lie itna tension Kabhi na le jisse apki raato ki neend aur din ka chain gayab ho Jae. Then chahe vo work ko lekar ho, relationship ya career. But agar aapko upar mentioned koe bhi symptoms khud me dikhe to bejhijhak hokar apni family, friends se baat kare. And if needed then doctor se consult kare. Because depression ka ilaz hai bas timely sambhalana jaruri hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin