Actress Dia Mirza, unke Instagram followers ko respond karti hai, or apni baat safai se kehti hai ki unhone apne husband Vaibhav Rekhi se isliye liye shadi nahi ki kyunki vo pregnant hai. Isi month k shuruvat me, 39- years old dia mirza ne social media ke dwara apni pregnancy ki news batai, or Vo likhti hai ki “Vo bhaut jyada blessed ki unke sabse beautiful or pure dream unki womb me pal raha hai”. Ussi ke sath dia mirza ko bhaut sare Congratulations k messages aye unke friends or colleagues se, ussi k sath unhe bhaut se aade tedhe trolls jo unke shadi ke or iss news ko announce karne ke timing pe ho rahi hai unhe face karne pade comments me.
Comments pe Respond karte hue, Dia Mirza Likhti hai ki, “Humne shadi isliye nahi ki kyunki hum baby ko janam dene vale hai lkin humne shadi isliye ki hai kyunki hum ab apni zindagi sath me spend karna chahti hai”. Aur shadi ki planning k dauran unhe pata chala ki vo pregnant hai or unhone ye news ab tak isliye nahi btai kyunki ye medically safe nahi tha.
Dia Mirza Hamesha Se Apne Fair Nature Ke Liye Jani Jati Hai Or Women Rights Ke Liye Stand Leti Hai, Or Aj Bhi Vo Women Rights Ke Uper Bolti Nazar Aai.
Dia Mirza likhti hai ki, “ Ye meri zindagi ki sabse jyada happy news hai, Iss khushi k liye mene bhaut years se wait kiya hai” Aur iss bat pe emphasize karte hue kehti hai, ki unka ye bat chupane ka koi or irada nahi tha sirf medical reason tha. Aur vo ye sab isliye keh rahi hai kyunki iss bat k liye unhone kabhi bhi shame mehsus nahi ki aur women ki apni choice hai ki vo maa single rahe k bane ya marriage k baad. Dia Mirza Iss topic ko Conclude karte hue Kehti hai, “Ek society hone k taur pe, hume apne ideas unstereotype yani ki women ko judge na karte hue balki kya right hai or kya wrong kya fair or kya unfair usme hume khud ko train karna chahiye”.
Dia Mirza bhi baki celebrities ki tarah hi unki pregnancies k liye troll ki gayi hai, lkin ab samay aa gaya hai ki log vo step back le, aur women’s agencies ko respect de or Unhe unki bodies and privacy pe pura hak hai chahe vo koi normal lady ho ya koi public eye.
Hum humesha sahi or galat ki baat karte hai, usme humesha log ye kehte hai ki ye women nahi kar sakti ye galat hai chahe vo koi bhi baat ho shadi, career, many more lkin judgements humesha se hi ek women pe kiye jate hai. Hum kehte to hai ki women ko sab kuch to diya hai, lkin aj bhi kuch galat ho jaye to women ko judge karte hai. So at last soch badlo women ko nahi.
Dia Mirza | Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin