Digital divide = covid vaccine
1 may ke baad 18 se 45 tak sab log eligible hai for vaccination .Aur hum co-win app par jaakar apna registration kar slot book kar sakte hai . Lekin cowin.gov.in se vaccine book krane se jyaada easy rhega agar hum getjab.in se book krane ki koshish krenge. Ya fir under45.in website ka use krein. Ab jaante hai aisa kyon???
Limitations of Co-win App | Digital Divide
Co-win appki limitations hai kuch jaise jo banda technological hai , jiske paas smartphone hai kyonki ye otp ke dwara book kiya jaata hai , aur as compare to rural areas people urban areas mein rehne wale logo ke liye ye ek plus point hai . Kyon rural areas mein rehne wale mostly people ke paas technology ka abhav hai as well as awareness.#digital divide
Digital divide
Ye digital divide vaccine equity mein ek rukawat banne ka kaam kar raha hai .This technology can include the telephone, television, personal computers and the internet. Agar hum Delhi Jaise Shehar mein dekhenge To hamein dekhne ko milega ki bacche bacche ke pass phone hai lekin agar ham Madhya Pradesh Ke kisi chote se gaon ke Kshetra mein jakar dekhenge To hamen pata chalega ki wahan laptop, phone, technology ka Kitna abhav hai.
Rural Areas People | Digital divide
Hamari India mein kuchh jgah To Kya hota Hai bilkul hi acche se cheeze available hoti hai aur kuchh jgah aise hai jahan bilkul hi cheeze nahin Pai jaati.#Digital divide Jin logon ke pass abhi phone nahin Hai ,Jo log poor Hain wo abhi vaccination nhi kara paa rahe hain. Co-win app per slots kam hai lekin demand dheere dheere badhati ja rahi hai. Aur hamare Desh mein vaccine Ki waise hi itni shortage hai.
Rich People Take Advantage Of Poor People| Digital divide
Rural areas may be vaccination centres hai lekin vahan per Jo log Hain unhe technology ka itna use nahin pata Aur vaccination lagwane ke liye co-win app par to pahle registration karna hi hota hai. To humare city areas mein vaccination ke slot bhar gaye to woh people ab rural areas mein jakar vaccination kara rahe hain. Jo City peoples hai wo poor people ki disadvantage ko apni advantage mein convert kar rahe hain.#Digital divide
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin