Aaj poora desh National Doctors Day Celebrate kar rahi. Kehte hai, Bhagwan har jagah nahi ho sakte that’s why shayad doctors is Duniya me hai as a god. Doctors sirf disease ka cure nahi batate but wo humare rants ko peacefully aur carefully sunte bhi hai. Pichle kuch months se Covid-19 virus world ke har ek country me spread hogaya hai jisse ab doctors hi sabki hope reh gaye hai. Is pandemic me doctors hamare liye din-raat kaam kar rahe hai uske liye hum sab unko jitna shukriya kare utna kam hai. Doctor real-world mein real-Life Superheroes hai.
Kyu Celebrate Karte Hai Aaj Ka Din
Aaj 1 July hai aur aaj Ka din har doctor ke liye hai jo iss war mein hamare safety ke liye ladh rahein hai. National Doctor Day ko celebrate isliye kiya jata hai because iss din Bidhan Chandra Roy, ka birthday hota hai. Bidhan Chandra Ji ka Janam 1 July 1882 mein hua tha. Dr Roy ko 4 February 1961 ko desh ke highest civilian award, Bharat Ratna se honour kiya Gaya tha. Bidhan Chandra Roy Bengal ke former chief minister the. Aur Gandhi ji ke bohot ache dost bhi the. Unka Janam bhi 1 July ko hua aur death bhi 1 July ko hi hue, aur tabhi se aaj ka din Bharat mein log as Doctors day celebrate karte hai.
Covid-19 Mahamaari Me Doctors Ka Adbhut Yogdaan
PM Modi ji ne apne twitter account par ek video ke through doctors ko love aur respect bhi di hai. Year 2020 mein, is mahamaari ne economy ko bahut buri tarah affect kiya hai. Yaha tak ki Rahul Gandhi ne bhi apne twitter par ek thankful and respectful message bhi likha hai. Yaha tak doctors ke beech ek state-level webinars aur virtual meeting hone ki bhi chances hai. Although this year ke doctors day ka theme rakha Gaya hai – ‘Lessen the mortality of COVID19’.
Covid19 ka infection speedily spread hone ki wajah se country ko lockdown karna pada. But is lockdown me bhi doctors sabki jaan bachaane ke liye covid19 ke patients ke saath-saath dusre mareezo ko bachaane ke liye fight kar rahe hai. Aaj world ke har doctor Vaccines Banane me 24/7 continuously kaam kar rahe hai. Itni garmi mein bhi unko protective gear aur suit pehenna padh Raha hai. Hum salute karte hai har doctor ko jo ye Jung ladh rahein hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par