Aap Kaisa partner chahte hai? Romantic, funny, strong ya kahi na kahi controlling type ka? Ya, jo loving ho, caring ho and thoda bahut funny ho? Well, is par to sabka jawab alag alag ho sakta hai. But I believe ki aap me se maximum logo ka jawab Hoga jaisa bhi ho dominating na ho. Then sawal ye uthata hai ki partner dominating hai ya nahi Kaise pata chalega?
Pyaar, ek khoobsurat sa ehsas hota hai and Relationship me ek doosre ke sath time spend karna har kisi ko acha lagta hai. but jab aapka partner apni marzi aap pe thopne lage ya hawi hone lage to samjh jaeye ki aapka partner aapko dominate kar raha hai.
Naya- naya jab relationship start hota hai then ye bata pana kaafi tough hota hai ki aapka partner dominating hai ki nahi. Starting me to uska dominating nature aapko kaafi caring lagega. But then jab vo aapki har baat par control karna start kar de then aapko realise hota hai ki aapka partner dominating nature ka hai.
Partner ki dominating nature ka pata lagne me kae baar kafi time lag jata hai. but tab tak uska yehi nature uska passion ban chuka hota hai. And agar aapke partner ka yehi passion aapko physchly and mentaly dono way me hurt kar raha hai, then ye kaafi dangerous ho sakta hai.
And agar aapke relationship me love and respect dono kam ho rahi ho then aapko ye janna chahie ki kahi iska reason aapke partner ka dominating nature to nahi.
Kuch symptoms ke through aapko pata chal sakta hai ki aapka partner dominating hai ki nahi. So chalie jaante hai dominating partner ke kuch symptoms
Hamesha Apni Manmarzi Karna
If aapka partner dominating hai then vo har time apni manmarzi karega. And matter koe bhi ho aapka advice nahi lega. Is type ke partner apne decisions ke sath sath aapke decisions pe bhi haq chahte hai. That’s why kuch time baad isi dominating natyure ke sath rahna mushkil ho jata hai.
Hamesha Agle Ki Galti Nikalana
Dominating nature vaale partner kabhi khud ko galat nahi sabit hone denge. Unke according saari fault hamesha agle ki hoti hai. Suppose kijie agar unse koe bhi galti ho to vo kabhi use accept nahi karenge balki uske piche kuch na kuch logic deke saamne vaale ko hi galat saabit kar denge.
Personal Space Na Dena
Relationship koe bhi ho personal space ki needs sabhi ko rahti hai hai. but afar aapka partner dominating nature ka hai to vo is baat se agree nahi Hoga. And apne partner ki har ek choti se choti activity pe Nazar rakhega. Yahi nahi agar mauka Mila to aapka phone utha kar WhatsApp and other messaging app bhi check Karega.
And hamesha chahega ki uska partner uski advice jarur le. Then chahe vo kapde pehanna hi kyu na ho. Aur to aur inhe ye bhi Janna hai kab kaha kis waqt aur Kiske sath aap the din bhar.
Egoistic
If aapka partner dominating nature ka hai to vo apne alawa kisi aur ki tareef nahi sun sakta aapke muh se. Aise partner kaafi egoistic hote hai. And majak me bhi agar aap unke lie kuch positive points bol denge to unka ego hurt ho jata hai. Aise partner har ek pal aapka attention chahte hai. Andf agar kuch galat hua to muh fula ke baith jaate hai.
Chalie ab aapko btate hai ki kis tarah se aap apne dominating partner ko kar sakte hai handle
Psychiatrist and Relationship Expert Dr Surbhi Thakur is par kahti hai ki dominating partner ke sath rahna kaafi tough task hai. Time ke sath sath relationship me bhi darar aa jati hai. And relationship ko bachana bhi kaafi tough ho jata hai.
Ho, skate hai ki kisi tareeke se aap relationship ko aise hi maintain kar le poori life but aise relationship me dono ke beech me Pyaar and samjhadaari vaali bonding ko banana kaafi mushkil hota hai.
Dr Surbhi ke in tips ke sath aap apne partner ka behaviour ek limit tak badal sakte hai. Iske alawa chahe to kisi expert ya counselor se advice bhi le sakte hai.
Ignore Na Kare
Agar aap apne partner ke dominating nature ko ignore karenge then vo aapke lie kaafi badi samasya ban Sakti hai. Because aapke ignore karne se aapke partner ko lagega aapko bade Aram se vo control kar sakte hai. Dhire dhire vo aapko poori Tarah control Karna chahenge so better hai aap ignore na kare.
Be Clear and Assertive
Aap apne partner se kis type ka behaviour expect karte hai, Unko clearly bataeye. And apni baato ko bade Sahaj tarike se samjhaieye. Problems ko agar discuss karke solve kar lenge to better rahega. Because agar tension ke sath solution dhoodhenge to problems badhengi hi.
Har Baat Na Maane
Aapke lie better rahega ki unhe aapko control karne na de. unhe samjhaiye ki aap itne Kabil hai ki khud ke decisions le sakte hai. Agar starting me hi Aisa nahi kiya to aage chal kar dhire dhire aapke har ek cheez pe vo apna control chahenge. That’s why har waqt apne partner ki manmaani na chalne de.
Dono Multually Time De Apne Relationship Ko
Agar aapko lagta hai ki aapka partner kaafi samjhdaar hai then dono is problem pe sath me mil kar baat kare. Aisa na ho ki time nikal Jae an aapka relationship toot Jae. Because agar gaadi ka ek pahiya bhi ladkhadae then balance bigad jata hai. Kisi bhi relationship meek ek ke hi efforts and steps se kuch hasil nahi hota.
Family/Friends Ki Le Help
Agar aapko samajh nahi aarha ki kaise apne partner se baat kare? and aap doubt me hai ki kahi aapki baato se aapka partner hurt na ho jae. Then apne friends ya family ki help le.
But agar aapko lagta hai ki family or friends ko involve karne se baat aur bigad Sakti hai then aap relationship experts ki help le. So that aapke partner ko pata chal sake ki unki kuch harkate aapko uncomfortable kar Rahi hai.
Jaldbaazi Ki Koe Zarurat Nahi Hai
Aapke partner ka ye dominating koe 1-2 din me to develop nahi hua Hoga. Develop hone me Kae months ya years lag gae honge. So aise me aap raato Raat unke is nature ko badle ki asafal kosis na kare. Partner ke saath baithe and unhe realise karvae unke dominating nature ke bare me. Maybe unhe khud hi realise hojae.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin