Recently kuch documents se yeh pata chala Hai ki coronavirus China se aaya Hai jis karan Donald Trump ne 10 trillion dollar demand Ki Hai from China. Donald Trump starting se keh rahi the is matter ko lekar investigation honi chahiye. Donald Trump ka kahana hai ki poore world mein itni death Hui Hai Aur itna bada economic loss hua Hai To uske liye China Ko bharpai karni padegi.
Dr Anthony Fauci | Donald Trump
Dr Anthony Fauci ke upar Donald Trump ne blame lgaya hai . Anthony fauci head hai covid-19 task force ke aur hamesha former President Donald Trump and Anthony fauci ke beech clashes dekhne ko mile hai. Donald Trump jab bhi kahate the ki coronavirus ka origin china se hua Hai to Anthony fauci use reject kar dete th. Donald Trump ki Republican Party hai jo wo Anthony fauci ke upar blame Laga rahi hai ki starting ko hi Anthony ko bol diya Gaya tha ki unhi aashanka hai lekin Anthony Dhyan nahin diya.
Democratic Party | Donald Trump
Donald Trump ye bhi kahana hai ki jo democratic party hai woh starting se hi unhen xenophobe bulane lag gai thi. Kyunki unhone us ke borders close kar diye the. Donald Trump ka kahana hai ki use samay Unka Jo decision tha vo Ek life-saving decision tha. Jiske Karan bahut se logon Ki Jaan bachi thi.
What is wuhan lab? | Donald Trump
Wuhan institute of virology ek high – security research facility hai jo study karti hai pathogens ke upar Jo hamare beech mein present hote hain with the potential to infect humans with deadly and exotic new diseases . yhan par itni security rahti hai ki agar koi bhi experiment ho rha ho to woh Dhyan rakhte Hain Ki wo leak Na Ho jaaye.
Agar Ham SARS covid-1 Ki baat karein to woh bhi China se hi aaya tha 2002 mein. And uske bad China Ne Iske upar kafi jyada study karna start kar diya tha. And is institute Ne bat se jo virus nikalte Hain unke upar study karna bhi start kiya tha.Bahut saare scientists ka yeh kahana hai ki kuchh aise workers ya researchers honge jinhone itna Dhyan nahin Rakha hoga jiske Karan virus wuhan lab se leak ho Gaya hoga. #Donald Trump
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin