Vaise to duniya me kae desh surkhiyo me rahte hai. Koe apni speciality ki vajah se to koe apni prosperity ki vajah se. But agar baat kare hamare padoshi desh china ki to vo hamare beech apne “chale to sham tak..varna chand tak” vaale items ki vajah se jana jata hai. Ya phir tab hamare beech surkhiyo me rahta hai jab laddkah me ungli karne ki koshish karta hai aur hamare sainik maar bhagedte hai. Khair ye to baad hogae ham as indian china ko kaise jaante hai. But ye kahna galat nahi hoga agar baat kare development and progess ki to china hamse kae guna tez hai. And world ke fastest developing desho me se ek hai. Technology se lekar Covid 19 har mamle me china aage chalta hai. Gazab ki baat to ye hai iss desh ke sath sath iske gaon bhi kaafi popular hai. Abhi hal hi me ek baat samne aae hai china me ek aise gaon ki jaha ke har ek ghar me crorepati hai.

Super Village In China

HUAXI STREET (Longshan Temple area, Taipei) – No.1

According to Daily Mail UK (Angrezo ka News Portal Hai), China me ek gaon hai jo Super Village ke naame se popular hai. And gaon ke har bande ke account me kam se kam nahi to 1.5-2cr to hai hi. Daily Mail ke according har bande ke pass alishan bungalow, aur chamchamati gadiya bhi hai. To jin bhaiyo ko Girlfriend nhi mil rahi ho vo yaha se jakar la sakte hai aur raato raato crorepati banne ka mauka pa sakte hai 🙂

Hauxi Naam Hai Duniya Ke Sabse Ameer Gaon Ka

Eastern China me Jiangsu province me ek gao hai jiska nam Huaxi hai. Vaha log itne gareeb hai ki traveling ke lie Helicopter use karte hai. Ye Huaxi gao duniya ke sabse ameer gaon me gina jata hai. Khas baat to ye hai ki yha aapko har vo ek cheez mil jaegi jo aap kisi city me expect karte ho. Aise me ye kahna galat nahi hoga agar sabse developed village ki baat kare to Huaxi ka naam sabse upar hoga.

Is gaon me jaha aaj har taraf aapko khushali dikhti hai. Aur har banda crorepati dikhata hai. Ye gaon hamesha aisa nhi tha, yaha bhi kabhi kisi time par gareebi hua karti thi.

Agriculture Se Hi Hua Gaon Ka Vikas

HUAXI: The Richest Village In China

Comunist party ke leader Wu Rainbow ko iska credit jata hai. Jinhone is gaon ki development ka structure prepare kiya. And duniya ke samne misal rakhi ki development ho to aisa varna na ho. Wu ne ek company ki formation ki and uski help se gaon me samuhik kheti ko badhava diya.

Anniversary Par Bana Dali FIFA Cup Ki Trophy Jaisi Sky Scraper Building

Currenty is gaon me billion dollars ka hub mana jata hai, Jinme steel aur shiping ki companies major hai. Bataya jata hai ki gaom me maximum ghar ek jaise hai aur multiple rooms vale hai. And jo dekhne me aur rahne me kisi 5star hotel se kam nahi hai. 2011 me is gaon ne apni 50th anniversarry celebrate ki thi jiske cleebration me ek skyscraper tyar kiya gaya. Jo hubahu Fifa World Club Championship ke cup ki tarah dikhti hai


Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…