Kya Aap Jaante Hain, Duniya Me Mushroom Ki Different – Different Varieties Payi Jati Hain.
Unhi Me Se Ek Hai Guchhi Mushroom. Ye Duniya Ka Sabse Mahnga Mushroom Hai Jo Bharat Ke Kashmeer Me Paya Jata Hai. Iski Keemat Lagbhag 40 Hajar Se 50 Hajar Rupaye Kilo Tak Hoti Hai. Bharat Ke PM Narendra Modi Ko Bhi Is Mushroom Ki Sabji Bahut Pasand Hai. Aaiye Jante Hain Kashmeer Ki Is Speciality Ke Bare Me.
Guchhi Mushroom March Aur April Ke Mahine Me Paye Jate Hain. Is Dauran Yahan Badal Garjate Hain, Bijli Chamakti Hai Aur Barish Bhi Hoti Hai. Aap Ko Batate Chalen Ki Pulwama Jile Ke Ek Bahut Hi Khoobsurat Village ‘Aripal’ Me Is Mushroom Ko Dhoonhkar Sukhaya Jata Hai. Achhe Se Sookh Jane Ke Baad Is Sell Kiya Jata Hai. Aap Jaankar Surprise Honge Ki Achhi Quality Ke Guchhi Mushroom Ki Keemat 50000 Rupaye Tak Bhi Ho Sakti Hai.
Waise To Iska Use Chinese, Italian Aur Arabic Kai Tarah Ki Dishes Me Kiya Jata Hai Lekin Iska Sabse Jyada Maja Kashmiri Dishes Me Hi Aata Hai. Inhe Pulaav, Korma Ya Stuff Taiyar Karne Ke Baad Aane Wala Swaad Kisi Ka Bhi Man Moh Sakta Hai. Ye Swaad Aapko Kisi Aur Dish Me Chakhne Ko Nahin Mil Sakta Hai.
PM Modi Bhi Is Mushroom Ke Swaad Ke Deewane Hain. Jab Guchhi Mushroom Ko Kashmeer Ke Other Dishes Ke Jaayke Ka Sath Mil Jata Hai To Pulaav Aur Bhi Swadisht Ho Jata Hai. Bataya Jata Hai Ki Ye PM Modi Ki Pasandida Sabjiyon Me Se Ek Hai. Ek Interview Me PM Modi Iske Swaad Aur Qualities Ki Tareef Kar Chuke Hain. Ise Kewal Special Occasions Par Special Guests Ke Liye Banaya Jata Hai. Bharat Me Hi Nahin Balki Bahar Videshon Me Bhi Iske Deewane Hain. Yahi Wajah Hai Ki Yah Duniya Ka Sabse Mahnga Mushroom Hai Jiske Liye Loag Muhmangi Keemat Dene Ko Bhi Taiyar Ho Jate Hain. Yah Mushroom Duniya Ke Bade Bade Restaurants Ke Menu Me Bhi Shamil Hai.
Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin