Food wastage choked our planet

Hum sirf us food ki baat nahin kar rahe Jo hamare ghar par waste hota hai hum production se lekar consumption tak ki jitni food wastage ho rahi hai uske baare mein baat karenge. Food wastage ki problem sirf India mein hi nahin poore world mein hai.

Aur Agar ham data Ki maane to jitna bhi khaana produce hota hai usmein se 40% waste hota Hai. Kitne log hunger se mar rahe hain kitne log undernourished hai. Jitni bhi malnourished child Hai un mein se har third child Indian hai.

According to a Recent Poll, 88 Percent of Americans Reduce Food Waste – Food  Tank

Indians Situation regarding | food wastage

jitna bhi khana India mein poore saal mein Waste hota Hai uska revenue 92000 crores hai. Agar ham is food wastage ko rok sakein to hamare desh mein hunger aur food scarcity ki problem kam ho sakti hai. The food waste index report 2021 conducted by United Nations environment programme (UNEP) and its partner organisation WRAP ne btaya hai ki 2019 mein 931 million tonnes of food wastage generate hua Hai, jismein se 61% household se aaya Hai ,26% from food service and 13% from retail.

Aur Agar ham specifically India ki baat karein to India mein per year 68.8 tons food wastage hota Hai. The state of food security and nutrition in the world 2020 report ka kehna hai ki ki India mein 189.2 million people undernourished hai.
India ki 14 % population undernourished hai.

Understanding Food Waste | Fix.com

How to Tackle this food wastage issue???

  • Is food wastage issue ko hal karne ke liye alag alag chefs se poochha gaya. Ham Agar kisi bhi restaurant mein jaate Hain To vahan ka menu chefs ke dwara hi banaya jata hai.To chefs ko ye slah di jaati hai ki wo apne menu mein off season dishes na rakhein , portion size ache se manage krein Insan ki capacity ke hisab se hi use khana allot kijiye.
  • Government and other authorities ko mobile technology ,and online ,cashless payments to badhava dena chahiye. Ham technology mein dheere dheere itne aage badhate ja Rahein Hai To Kya hum aisi koi technology nahin la sakte Jo food management mein madad kar sake.
  • Food wastage ki problem hai vo Ek modern one hai agar ham apne ancient time Ki baat karen to us time par itna food waste nahin kiya jata tha logon Ko khane ki kadar hoti thi. As per the food waste index report 2021 50kg of food ko waste kiya jaata hai har saal ek ghar se.Aur ab jo ye food waste hai ye kahan jayenga???

Landfills mein is food wastage ko dump kar diya jayega. Jisse greenhouse gases emit hogi and it also cause global warming.

Why We Need To Stop Food Waste? | Respect Food

Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin

You May Also Like

Engineers Jo Aage Jaakar Bane Famous Celebrities!

Engineers who turned into celebrities…..

Life: 5 Lessons To Learn From Warren Buffet Jinhe Hume Apni Life Mein Apply Karne Chahiye!

5 Life advices given by Warren Buffet.

Chote Parde Ki Duniya Se Nikal, In Actresses Ne Bollywood Mein Lehraya Parcham

Chote Parde Ke Kalakaron Ko 90s Ke Time Kam Ahmiyat Di Jati…