in

Kisi Ko Khaane Ke The Laale To Kisi Ke Pas Na The Fees KE Paise…Gareebi Ko Hara Kar Successful Hue 5 Log

Aaj Kal Charo taraf VLCC Femina Miss India 2020 Runner UP Manya Singh ki hi charcha hai. Manya ke father auto-rickshaw driver hai. Sabse khas baat to ye hai ki jab Manya Runner UP ka khitab lekar ghar pahuchi to unhe receive karne unke father khud hi apne auto-rickshaw se gae the. Manya aur unki family ki ye story hame bahut kuch sikhati hai. Odd situation me dat kar khade rahna aur unhe harakar success gain karna, thereafter bhi aap kaha se aae hai aur kaha se belong karte hai yaad rakhna in short Jado se Juda rahna.

Image result for manya singh

Manya Uttar Pradesh se belong karti hai aur unki family aaj bhi financially struggle karta hai. Unke father auto-rickshaw chalate hai and that is the only one medium jisse unka poora ghar chalta hai. Manya kahti hai ki vo kae din air raat bhookhe pet hi soe hai. And Kabhi Kabhi to aisi situations bhi aae hai ki vo so bhi nahi saki hai. Unki fees ke lie unki mother ne apne gehne tak girvi rakh diye the.

Manya din me padhai karti thi aur sham me bartan dhulti thi. Raat ke time call centre me job bhi karti thi. Kuch is tarah se struggle karke aaj vo is khubsurat mukaam par pahuchi hai.

Manya Ki Tarah Hi Kae Aur Personalities Hai Jinhone Kaaf Struggles Ke Baad Success Ko Taste Kiya Hai

Gaeeribi Ko Apne Mukke Se Maara Aur Ban Gaya International Boxer

Manya ki tarah hi Manoj Kumar ki story hai. Manoj Sangrur se belong karte hai and kaafi struggle ke baad aaj jaane maane boxing player ban gae hai. Aapko bata de Manoj ke father rehadi(cart) lagate the. Unhone logo se udhar lekar Manoj ke boxing ke lie important sources organise ki.

Manoj batate hai kae baar unko proper diet nhi milti thi an iska impact unke khel par bhi kaafi padta tha. But unhone haar nahi maani and itni gareebi ke bavjood bhi apna khel jaari rakha. Unhone apne success journey school level se hi start kar di thi. Thereafter State Levels me 15 se bhi jyada Gold Medals jeete.

manoj kumarmanoj kumar

Manoj batate hai, apne childhood me unhone PT sho bhi kiya tha jiske lie vo Banaras bhi gae the. Vahi stadium me Boxing & Gloves dekh kar unke ander boxing ko lekar ek Junoon paida hogya. Thereafter unhone apni practise start kar di and gareebi se ladte hue International Team tak ki journey complete ki.

Father Advocate Ke Yaha The Accountant, Maa Kabhi Na Gae School But Beti Bani Judge

Uttarakhand Judicial Service Civil Judge exam me Roorkee ki Ayesha Farheen ne apne pehle hi attempt me succcess gain ki. Unke father Sharafat Ali roorkee ke advocate ke yaha accounts ka kaam dekhte the.

Ayesha ne Roorkee ke hi BSM College se BA aur Law ki study ki. Thereafter Aligarh Muslim University se unhone LLM ki degree li. Iske baad Prayagraj (Allahabad) se unhone UJSC Judge exam ki tyaari shuru kar di. Aapko bata de ki Ayesha ki maa ne ek statement me kaha tha ki vo Kabhi bhi school nahi gae. Due to some reasons unhone padhai nahi ki but unki beti ne unka naam Roshan kar diya UJSC judge exam crack kar ke.

aaysha

Aapko bata de Ayesha ki family me hi 6-7 advocates hai. And unhe hi dekhar inka interest lae ki taraf badha. Unke grandfather law ki books padh kar hi logo ko insaaf dilvaya karte the.

Gareebi Ke Chalte Ek Time Par Chora Cricket, Aaj Hai RCB Ki Jaan

26 June 1993 ko janm lene vaale, Shivam Dubey. Kaafi kam umra me hi cricket se Pyaar kar baithe. And shayad yehi Pyaar tha jiske chalte vo school se aane ke baad cricket khelne lagte the. Jaise-Jaise Shivam ki age badhi unka Pyaar cricket ke lie kaafi badhne laga. Kisi ko andaza nahi tha ki ye ladka ek din Indian Team ka part banege.

Cricket ka ye safar Gali se lekar unhe Cricket Academy tak le Gaya. Unhone Mumbai ke cricket academy me admission liya. Kaafi chote age me hi unhone academy me apne batting ko improve karna start jar diya but kahte hai na kaee baar Junoon par gareebi bhari pad jaati hai.

shivam dubeyshivam dubey

Shivam Dubey ko bhi aisi situation se gujarna pada. Apne family ki financial situation achi na dekhte hue unhone 14 saal ki hi age me cricket ka tyaag kar diya. As per the experts, ye hi vo age hoti hai jab cricketers apne skills ko kaafi ache se polish karte hai. However, Shivam ne gareebi ke chalte hi cricket ko alwida kar diya tha.

Ab aisa bhi nahi hai ki unhone jaan bujh kar cricket ko chora tha. Gareebi ki vajah se vo cricket academy ki fees nahi Jama kar sake aur unhone Academy chor di thi. However, unke ander cricket ko lekar Junoon Kabhi khatm nahi hua. Unhe jab bhi chance milta tha, vo practise karne ground par pahuch jaate the. However kaafi time tak ground se dur hone ki vajah se unki rhythm kharab ho gae thi. And iske sath hi unhone kaafi weight gain kar liya tha. Aapko bata de kae time to aisa bhi hua ki unhe tournaments ke lie select nahi kiya jata tha as in vo kaafi overweight ho rakhe the. But Shivam Dubey ne haar nahi maani aur apne cricket ke Junoon ko jaari rakha and aaj jis mukam par hai vo Kabil-e-Tarif hai.

Irfan Pathan Ka Gareebi Se ‘King Of Swing’ Ke Khitaab Tak Ka Safar

Vadodara ek ek gareeb family me janm lene vaale Irfan Pathan India ke lie sabse fast 100 wicket lene vale bowler hai. Inka janm 27 October 1984 me Vadodara me hi hua tha. Irfan ke father Mehmood Pathan masjid me Muazzin ka kaam karte the. Family ki financial situation achi na thi. Masjid ke peeche hi ek chote se kamre me Irfan ne apni family ke sath apna bachpan gujara tha.

Unke parent unko padha likha kar Islamic Scholar banana chahte the. But Irfan ne apni Duniya kahi aur bana rakhi thi. Bachpan se hi unko cricket ka Junoon tha. Baad me family ne apne kaabil bacche ke Junoon aur mehnat ko dekhte hue usko uske passion ko follow karne diya.

Irfan ke father gareebi me bhi jitna ho saka aur jo ho saka apne bete ke lie kiya. And iska hi reason tha ki Irfan ne poora focus cricket par laga diya. 6-6 ghante lagataar unhone kadi dhoop me apna paseensa bahaya aur practise karte rahe. Gareebi Kabhi bhi unke raaste ka roora na ban saki. Ek interview me Irfan ne bataya tha ki vo itne gareeb the ki cricket kit bhi nahi khareed sake.

irfan pathanirfan pathan

Practise ke lie dono hi bhai second-hand kit use karte the. But unke hath me nayi ball batsman ke lie kaafi khtarnak hoti thi and shayad hi kisi ko pata tha ki unki ye khatarnak swing history me darz hojaegi.

Under-14, 15, 16 aur 19 teams ke lie unhone kaafi khatarnak performance di thi. That time Irfan all rounding performance dete the. Home matches me Shandar performances ke baad 2003 me unhone International Cricket me entry li that too Australian team ke saamne.

Chaukidar Se Popular Actor Tak Ka Safar

Uttar Pradesh ke simple se family me janm lene vaale Nawazuddin ne kaam ki shuruvat ek petrol chemical company se ki thi. Zindagi me kuch interesting karne ke lie vo Delhi aae and kaafi time tak security guard ki Naukri ki. Thereafter unhone Delhi me hi theatre kiya and kismat aajmaane Mumbai chale gae.

However unhone bahut jaldi kaam nahi mila aur mila bhi to kaafi chote-chote role play kiya. Actig workshop karke unhone kuch paise kamae jo unke struggle ka part hai. First time ‘Peepli Live’ movie se logo ne unko notice karna start kiya. Thereafter Gangs Of Wassepur unhe ghar ghar tak pahcha diya. Uske baad se nawaz kisi bhi pehchan ke mohtaz nahi hai.

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

₹500 Se Bhi Kam Me Milne Vale Ye Electronics & Accessories, Kar Sakte Hai Aapki Life Ko Kaafi Easy

Janiye Valentine Week Ke dauraan‘Siddhi Hates Shiva’ Banners Kaise ho Gaya Viral