Geetanjali Nair, ek residential deaf school run karti hai jiska naam naam Bhartiya Badhir Vidyalaya (BBV) hai. Ye school You and Me Deaf Society, jo ki ek registered society hai, uska part hai. BBV Laulai Gaon mei situated hai jo Amity University ke pass hai.
Ishika: Welcome Geetanjali ma’am. It’s a pleasure to have you here. Kya aap mujhe apne baare mein kuch bata Sakti hai?
Geetanjali : Mujhe bachpan se hi baccho se bohot attachment rahi hai. Jab mei 6th class mein thi, mujhe choice di gayi thi German ya Baraille koi ek language seekhne ke liye. Maine Braille choose ki thi or ek week ke time mein hi seekh li thi. Iske baad meine bahut sari books Braille mei translate ki aur voice recording bhi ki. School se lekar college tak meine 14 saal voluntary service ki blind baccho ke liye. College khatam karne ke baad maine special education ka course kiya Cerebral Palsy children pe . Apne research ke liye mujhe choice di gayi thi Faridabad ke shehar ya Rajasthan ke gaon mein. Maine Rajasthan ke goan ko choose kiya jahan maine day and night schools par research ki jo cerebral palsy baccho ke liye thi.
Ishika : That’s so kind of you ma’am. Aapki journey ki starting kaise hui?
Geetanjali : Meri journey ki starting mein maine Dilli ke kaafi saare slums mein baccho ke sath unki education pe kaam kiya. Disabled aur school drop out students ke sath kaam kiya. Maine Dilli ke red light area mai bhi kaam kiya hai jahan maine prostitutes ki girl child ko uss mahol se nikalke, 1 year ka formal education provide karvake unka residential schools mei admission karwaya.
Ishika : Wonderful! Ma’am apko is field mein kitna time hogya hai or interpretation ko lekar aapke kya views hai?
Geetanjali Nair : Mujhe ab 15 years ho gaye hain Deaf community ke sath kaam karte hue. Aur shayad mai Bharat ki one and only interpreter hu jisne Deaf logo se kabhi ek penny bhi charge nahi ki hai interpretatio services provide karne pe. Chahe court cases mein interpret karna, hospitals mein doctors aur Deaf ke leye interpret karna, visa ke leye interpret karna, railway stations, bus stations, parents counselling mein interpret karna, maine kabhi ek single paisa bhi charge nahi kiya.
Because mai is baat mein believe rakhti hu ki agar Deafs bol sunn nahi sakte, yeh unka fault nahi hai. Aur agar Maine inki language ko seekha hai toh inki awaz bankar inki help Karu. Kyunki responsibility hum sunne wale logo ki hai ki hum sanketik bhasha ko seekhe. Hum sunne wale logo ke pass 8000 se bhi jyada languages hain seekhne ke liye. But in logo ke pass sirf ek language hai.
Ishika : I’m out of words. Apko Deaf school open karke ka idea kaha se aaya?
Geetanjali Nair: Jab mai ISL (Indian Sign Language) study kar rahi thi tab maine ye cheez analyse kari ki hamare Bharat mein Deaf Education zero hai. Kyunki Deaf schools mei jitne bhi teachers hai woh sab hearing ke hai aur ISL nahi jante hai. Woh class mei oralism use karteh hai. 12 saal school mei padhne ke baad bhi Deaf bacche na padh sakteh hain aur na likh sakte hain. Aur iska yeh result hota hai ki unko koi Job nahi milti hai. Already unki family ke log unko accept aur support nahi karte, society bhi accept nahi karti hai aur school mei kuch padhte nahi hai. Toh unka future bhi zero hai.
Yeh sab dekhne ke baad aur samajhne ke baad maine decide kiya ki mai apna Deaf school open karungi jahan mai Deafs ko true education dungi.
Ishika : BBV kholne ke liye apko kis situation ko face karna pada?
Geetanjali Nair: BBV ko kholne ke liye 8 saal lage hain planning aur research mein. Mere pass team or ideas the lekin finance nahi tha. Hmme ek NGO ne sponsor kiya tha lekin vo NGO all of a sudden gayab hogya tha. Lucknow Deaf Association ne bhi Hamari koi help nahi Kari. Maine bhot adverse time Dekha hai. Fir Maine apni saare jewellery bech kar jo bhi savings thi sab nikal kar BBV ko bhot mehnat se start kiya.
Ishika: Truly Amazing! Kya aap hamare readers se kuch kehna chahengi?
Geetanjali Nair: Lack of funds ki wajah se mai or Deaf Principal pichle 4 saal se bina salary ke kaam kar rahe hai. Mai aap sab se request karti hu ki aap sab aage aye aur humare school ko support kare. Jis bhi tarike se aap apne part par support kar sakte hai please support kare. Lekin usse phele aapko humare school mei aana padega, baccho se milna padega aur humare kaam ko samajhna padega. Iske baad jaise bhi aap support karna chahte hai, aap support kar sakte hain.
Aap hmme 746097446 is number par reach kar sakte hai.
Ishika: Thank you so much, ma’am, ki aapne humse baat ki. Or hum apko best possible way mein assist karne ki try krenge.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par