Ha To Bhaiya Film Ka Naam Hai: Ghoomketu
Casting Kuch Yuh Hai: Nawazuddin Sidiqui, Swanand Kirkire, Ragini Khanna, Ila Arun, Anurag Kashyap, Brijendra Kala, Raghuveerr Yadav ek do aur bhi hai khair.
Dishahin Banane Vaale yaani ki Director: Puspender Mishra
OTT Platform: Zee5

Ab sochie 5-6 saalkisi film ko bane hue ho gae ho and achanak se ek din corona aajae. Then Sab apne gharo me band. So aise me us film ko bahar nikalna jyda ashan rahta hai jiska pata hota hai ki log theatuer me aane se rahe dekhne. Ghar par to majburi hai sabka dekhna and film release hoke flop bhi hojae then kaun sa zamana jaan paega lockdwon me. Ha to bhaiya isi baat ka fayada uthaya hai hamare dishahin director saheb shri Puspendra Mishra ji ne.

Mudde Ki Baat

Chalo ab thoda mudde ki baat pe aajate hai duniya to kar hi nahi rahi hami kar lete hai. To bhaiya ek hai Santo bua, unse aga r poocho to vo thoda ache se dakaar laga kar samjha dengi poori kahaani. Inhi ka ek bhatija hai ghoomket, unhe apni maa ki tarah maanta hai. Raat hote hi uske ander ka Ramsay bandhu maaf kijiega us level ka nahi but 4th copy jarur. Ha to raat me bua ko ye darawani kahaani sunata hai vo hi bhooto vaali. Din me Gudgudi Newspaper me job ke lie bhaga daudi karta hai.

Dikkat ye hai ki log ek to gharo me kaid hai corona se bachne ke lie. But Ghoomketu gharo ke ander ghus kar corna se bhi bhayankar halat karne vala hai. Abhi tak ye halat sirf Netflix ka tha. Jise Indian Cinema ki dhajiya udane me koe kasar nahi chori. bachi kuchi kasar leke tyaar hai zee5. Kya pata guru ho netflix zee5 ka. Hairani ki baat to ye hai Ghoomketu ko banya Sony Pictures ne hai jinka khud ka Sony Liv kakre OTT Platform hai but Zee5 pe isko release kiya. Kya hi chal raha hai ye sab.

Kuch Kamaal Ki Baatein
ghoomketu review

Acha kamal se judata ek kamal ye bhi hai ki Netflix pe release hue Tajmahal 1989 Viacom 18 ke banner me bani thi jinka bhi khud ka OTT Platform hai. But rahne dijie yha Tajmahal ka zikar ham islie bhi kar rahe hai kyuki Tajmahal 1989 ke Famous Director Pushpendra Mishra ne hi ghoomketu ko banaya hai. Well apoori movie me agar koe sunne layak hai to vo hai santo bua. Because bua ka ye kirdar ham sabhi ke bachpan me dekha hua hai. Ek aur Kirdar hai Dadda ka Ghoomketu ke jisko nibhaya Raghuveer Yadav ji ne But unka kirdar bhi doosri shadi ke baad se fika pad jata hai. Well inke chacha bane hai Musician swanand Kirkire and Inspector Badlaani ka role nibhaya hai Director Anurag Kashyap ne. bhagwan jaane kya kami pad gae thi inhe jo inhone apne apne profession ko chor isme acting ki.

Kahaani Bhi Jaan Lo
ghoomketu review

Dekho Samay to aapka ham barbaad nahi hone denge. Islie kahaani bhi bata hi de rahe hai. Ha to bhaiya Ghoomketu mohana se belong karte hai. Samuhik vivah me gae the shadi karne vaha biwi gae badal. Ab mehraru itni moti ki samjh na aae ki ye cycle pe baitha ke chalaenge kaise. Filmo me lihkne ki chull hai hai inhe islie dadda ki apni basi basai kam dhande me man bhi nahi lagta. Ha to phir kya tha ek din boriya bistar banh ke ye nikal liye mumbai.

Target tha 30 din me writer banne ka. Ab bhaiya 30 din me kaun writer banta hai. Iska credit bhi jata hai director saheb ko jinhone khud ki film ko release karne me 6 saal laga diye vo apni film ke hi lead role ko dediyae 30 din ka target. Ghoomketu ne bhi zor shor se chakkar lagae producers and directors ke ghar ka. But end me thak har ke vo chale jaate hai ghar. And inki likhavate raddi me bech di jaati hai jagha se ek script milti hai Amitabh bacchan ko. Ghoomketu ghar pahcuhe to biwi ek dum katrina maafik hogae thi slim-fit. Dono ne decide kiya movie dekhne ka aur chal diye cinema hall. screen pe Vohi Dialog chalta hai jo ghumketu ki chori script ka part thi.

Sambhal Jae – Chetavani
ghoomketu review

Ab aage story nahi hai. Film yehi khatm ho jati hai. Ab aap log bhi review se kam chala lijie dekhne ki to jarurt hi nahi. Becase film me to koe technical chiz dekhne ya batane layak nahi hai. Masaale ke lie ek do item songs bhi ghused diye hai and uska bhi music ek dum kamzorhai sabki acting ki taraf. Life me agar kuch important kam ho to karlo vanra barabda karo apne life ke 102 min ise dekh ke. Although review likh diya hai apne barbad karke taaki aap time bacha lo apna.

Trailer Dekhte Jae

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like

Bach Gaya RRR Ka Record, Prabhas India Ke Sabse Bade Superstar, Last 5 Film on Ki Opening Day Collection Hai Is Baat Ki Gawahi.

Kal Theatres Me Release Hui Film “Kalki 2898 AD” Apne Opening Day…

First 6 Months of Marriage Tips: Avoid These 8 Common Mistakes

The first 6 months of marriage tips are essential for any couple…

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Postpone Ho Gayi Varun Dhawan Ki “Baby John,” Ab Is Nayi Date Par Hogi Release, Kya Naye Look Me Kamal Kar Payenge Varun

Varun Dhawan Ki Much Awaited Film “Baby John” Ko Ab Officially Nayi…