Lockdown ke bad se har ek badi movie ab OTT platform pe release ho rahi. Ab aise me Cinema lovers ko nae film dekhne ki talab ho. Unke lie Gulabo Sitabo ne Amazon pe launch ho kar maano khushiyo ka bavandar de diya ho.
Go word se aapko apni taraf attract karne vali ye story. Ye film “A” Game ke bare me hai because Amitabh Bachchan and Ayushman Khurana ek sath for the first time screen jo share kar rahe hai. 12 June yani ki aaj ho rahi hai ye film direct aapke gharo me. Ab jinko first day first show dekhne shauk tha vo kabhi bhi kisi bhi waqt dekh paenge. Because main stream se hat kar ab yesabhi films aapke ghar me hi rahengi aapko na ticket leni ki jhanjhat uthani hai na hi sidhiya chadh ke apne seat tak jana hai.
Agar trailer se aapko movie ka andaza nahi hua. Then batana chahenge Sudeep sorkar ki comedy drama ek poorani haveli ke controversy ke ird gird ghumti gai. Jiska nam ‘Fatma Mahal’ hai.
Is film se sabhi ko kaafi hopes hai because kaafi lambe time se ham sabhi nae filmo se dur rahe hai. But ab dheere dheere sab hamare gharo me hi release ho rahi. Is movie se itni hopes iski star cast ki vajah se bhi hai because dono hi actors A grade acting vaale hai.
Khair chalie ham aapko batate hai 5 reasons is movie ko kyu dekhe.
Funny And Light Hearted
The Rising Sun Films Production ke banner ke under me bani ye film, ‘Gulabo-Sitabo’ ek makaan maalik aur kirayedar ke beech choohe billi Vaali ladai ki kahani hai. Dono ek doosre ko ungali karte hue nazar aaenge. Har ek paitara aajmaenge ek doosre ko pareshan karne me aise me unki ye harkate hame gudguda dengi ye to tay hai. Because ham khud chote mote nokh jhok me has dete ab ye to intentionally kiya ja raha hai so hasna to banta hai.
Digital Platform Pe Release Hone Vali First Movie
Indian cinema ki first ever budgeted film jisne digital platform pe release hone ka bada kadam uthaya. Although aap kahenge Nawazuddin Siddiqui starer Ghoomketu pehli Budgeted film hai but vo film 7 saal poorani hai islie uski majboori thi. But ‘Gulabo-Sitabo’current time ki budget movie hai jisne apne aap ko trend me la kar rakh diya first movie ban kar. Because ‘Gulabo-Sitabo’ko dekh kar hi baaki movies bhi OTT Platform ki taraf apna rukh kar rahi hai.
Amitabh Bachchan And Ayushman Khurana Ki Cute Chemistry
Decade ki sabse badi baat hogi ki ham sab industry ke do versatile actors ko first-time ek sath screen share karte hue dekhenge. ‘Gulabo-Sitabo’ me do accreditation actors hai, jinhone Hamare lie ‘Hero’ ki avdharana ko alag tarike se define kar diya. Big B ka angry man ke roop me hamare saamne aae the vahi Ayushman leak se hat ke Misguided and unconventional roles ne hamare dilo pe raz kiya hai. Ab aise me jab dono hi sath me rah kar hame hasaenge vo sochna bhi kaafi lazawab rahega. That’s why dono ki Jodi kaafi jyda pasand aane Vaali hai Indian audience ko.
Creative Dream Team
Vicky Donor, Piku and October jaisi successful movies dene vali. Writer Juhi Chaturvedi and Director Sujeet Sarkar ne Dobara ek notable content tyar kiya hai. Ye dekhte hue ki Juhi Chaturvedi ke dimaag ki upaj. And Sujit Sarkar ke vision me bani ye film hame kuch naya jarur dikhaegi. Islie isse ummed aur bhi badh jati hai.
Combination Of Industries Best Talents
Film ki casting se lekar film ki story lineup sab aapko apni taraf attract karti hai. Lead jodi ke alawa film me Vijay Raz, Brijendra Kala jaise popular face bhi hai. Jinhone ne apne talent se har ek ka dil jeeta hai.
Film dekhne ke lie hamne to aapko 5 reason de diye. Ab aap movie ko dekhiega and hame bataega kaisi lagi aapko movie over all. Hamare comment box me aakar apna feedback jarur de.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin