FDI ne almost $250 BILLION pichle 5 saal me invest kara hai India me. Ab jab ki iitna saara money invest kia jaa raha hai, tho hum kya kare jis se humare desh me Business karna sab ke lie easy ho jaye. And hum puri duniya me No.1 ki position par aa jaye?

Isska matlab hai ki hume purane investors ko aacha sa experience dena hoga, taki voh aur paisa invest kare aur jisse dekh kar baki log bhi humare desh me invest karna shuru kare.

India

Hume unko regularly exact report deni chaiye, jisse ki unko pata chale ki unka paisa kaha jaa raha hai. Aur neeche kuch points diye gaye hai jo hume aaisa karne me madad kare ge –   

SECTORS–  

Hume kuch aaise sectors ko dekhna hoga jinhe sabse zayada zarurat hai, jaise ki kuch industries jaise ki ELECTRONIC COMPONENTS, FACTORY EQUIPMENTS jiss ke export bhaut kam hai. Yeh kareeb 70% GLOBALLY TRADE hota hai, jab ki INDIA ka share 0.7% se bhi kam hai.

EXISTING BUSINESSES KI PROBLEMS

Existing businesses ko kya problems ho rahi hai? Kuch sectors me income tho bhaut zayada hoti hai, par kuch rules and taxes ki wajha se profit bhaut hi kam ho jata hai. Example ke lie, ek APPLE’S IPHONE ko manufacture kiya jaa raha hai, jiska MRP hai kareeb $700 par CHINA ko milta hai siraf $12 ke ass pass jo ki 2% se bhi kam hai.

India

ATTRACTIVE OFFERS –

Videshi companies ko offer do jiss se unko Invest karne ka aur mann ho. Jaise ki DELL ko aaisa offer do jisse se veh aapna manufacturing department ka branch India me bhi khole.

India

MORALE SUPPORT –

Companies ko support dena, agar koi company ko kisi cheez ki kami ya problem ho tho jaise ki funding, labour, etc. Tho unko zaruri madad de di jaye, taki desh aur company ko aage jaa kar koi problem na ho. For example – GOOGLE ne India me campus open karne ke baad, government se yeh promise kia ki Google Locals ko bhi job dega, iss se Company ko aur zayada employees mil jaye ge, aur Unemployment rate bhi kam ho jaye gi.

India

WORK SPACE-

Land, companies ko uske kaam ke aadhar par pehle hi Land de deni, jaise ki agar manufacturing ka kaam ho tho kahi outskirts me de dena chaiye, agar service based hai tho in the heart of the city me de dena chaiye. chaiye jis se veh aapna kaam shuru kar sake, jitni delay hoga uutna hi dono ke lie aacha nahi hoga.

REGULAR MONITORING-

Dhayan rahe ki export import me zayada problems na ho. Mostly, manufacturing companies outskirts me hai, kyuki unka saara business export import se hi chalta hai. Jitna delay Import export me hoga, uutni hi problems hogi.

ALSO READ : Amazon Great Indian Festival sales vs Flipkart Big Billion Day Sale

IMPORT & EXPORT –

Import export tax rate, kuch aaise components hote hai jo locally manufacture nahi kia jaa sakta, jaise ki AMAZON ka Alexa Speakers, iss speaker ke kuch components jaise ki charging adapter locally ban na mushkil hai. Tho company yeh decide karti hai ki kuch components ki manufacturimg alag desh me ki jaye. Isse Company ko manufacturing sasta pade ga, aur desk ke beech trade relation bhi badhega.

India

FUTURE ANALYSIS-

ALSO READ : Nokia 2.4 old school is back

Companies ko future prediction easy lage. India Government aur companies ko aapna data regularly update karna chaiye jis se sab ko easily samajh aaye. For example, Nokia ka Indian business bhaut profitable tha, kyuki NOKIA ki sales aachi thi aur bhaut se localities ko job bhi di, iss se government ne unko kai sare benefits diye aur India ka unemployment rate bhi bhaut kam hua. Par kuch years pelhe jab NOKIA ka business bandh hua tho iss se India ko bhi bhaut loss hua. Iss wajha se CHINA ka bhaut Profit hua aur CHINESE ANDROID SMARTPHONES COMPANIES ko INDIA me business start karne me zayada problems nahi aayi. 


LOCAL SUPPORT –

Government ko local vendors ki help leni chaiye jo companies ki help kare. So,that Government, Company aur Local vendors ki help ho sake.

Investment karna matlab, Plants lagane jaisa hai, Proper caring karna hota hai. Returns immediately kabhi nahi milte, Returns aane me kabhi months lagte hai tho kabhi years. 

THANK YOU


You May Also Like

Tenet | Christopher Nolan Ki ‘Tenet’ Amazon Prime Par Hue Release

John David Washington ke sath dete hue Robert Pattinson aur , Elizabeth Debicki, Dimple Kapadia, Kenneth Branagh, Aaron Taylor Johnson, Michael Caine and Clemence Poesy jaise diggaz milenge movie me.

Kya Is Actor Ko Date Kar Rahi Hain Huma Qureshi? Sonakshi Ki Shadi Ki Tasviron Ne Khola Raaj

Director Mudassar Aziz Se Breakup Ke Baad Huma Qureshi Ka Naam Pichle…

Kamal Hasan Starrer “Indian 2” Ka Dhamakedar Trailer Release, DamdaarAction Se Public Ke Udaye Hosh.

Kamal Hasan Apni Blockbuster Film Indian Ka Sequel Lekar Wapas Maidan Me…

Smriti Irani Birthday Special: Jab Politics Me Aane Ke Baad Gae Tulshi

Film industry me jaane ka sapana har kisi ka hota hai. Koe…