in

Janiye Kis Indian Industrialist Ne Elon Musk, Jeff Bezos Ko Net Worth Increase Me Piche Choda

First generation Indian Tycoon, Adani Group ke CEO Gautam Adani ne is year net worth increase ke mamle me Elon Musk aur Jeff Bezos ko bhi piche chod diya hai.

Gautam Adani sees COVID-19 as opportunity for faster transition to clean  energy - The Hindu
Source – https://www.thehindu.com/

Also read : Amazon Ne Apna Logo Kyu Change Kiya ? Janiye

Itna Net Worth Increase Kese

According to Bloomberg Billionaires Index, Adani Group ke CEO Gautam Adani ki net worth me is saal $16.2 Billion ka hike aya hai jinse unki net worth ab $50 billion ho chuki hai. Is surge se unhone world’s richest person Jeff Bezos aur even Elon Musk ko bhi net worth increase ke mamle me piche chod diya hai. Is saal Adani Group ke each and every stock ke shares ne market me 50% se bhi jyada pr rallying ki hai. This year, Adani Total Gas Ltd. ne market me kareeban 96% ki jump dikhayi hai while the flagship Adani Enterprises ne bhi 90% advance kiya hai. Adani Transmission Ltd. bhi ab 79% se upar aa chuka hai and Adani Power Ltd. and Adani Ports and Special Economic Zones Ltd. bhi 52% se jyada gain kar chuke hai. Adani Green Energy Ltd., jisne pichle saal 500% ka rise kiya tha is saal, uptil now already 15% gain kar chuka hai.

Also read : Warren Buffet Bane $100 Billion Club Ke 6th Member, Janiye Kon Hai Baaki 5

Adani Group’s Expanding Portfolio

Over the last few months, Adani tezi se apne portfolio ko expand kar rahe hai. Recently, unhone India me hi kahi sare ports, airports aur coal mines ko apne empire me add karliya hai. Even, Adani Group ab data centres bhi kholne ki planning me hai jisse vo technology business me bhi enter kar jaynge. Adani Group has signed a deal jisme unhone promise kiya hai ki vo India me1 gigawatt of data center capacity develop karenge.

Also read : Kalyan Jewellers Ka IPO 16 March Se Khulega, Price Janiye

Reliance Ko Bhi Piche Chod Diya Hai

Previously, Is saal Reliance Group ke CEO Mukesh Ambani jo ki Asia’s richest person hai, ne bhi is saal $8.1 billion se apni net worth increase kari hai but Adani Group ke is surge ke baad vo iske samne kuch bhi nahi. Adani Group ne badi badi investment companies jese ki Total SA aur Warburg Pincus ko bhi attract karliya hai.

Also Read : Maharashtra: Do aur Districts Me Firse Night Curfew Huye Impose, Jaaniye What’s Allowed & What’s Not


Paisa Kamae ab telegram par bhi available hai. So bina kisi deri ke hamara channel join kare also hame Facebook | Instagram | Twitter aur LinkedIn par follow karna na bhule.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Warren Buffet Bane $100 Billion Club Ke 6th Member, Janiye Kon Hai Baaki 5

Hera Pheri Movie Ke Fan Ho Tho Is Quiz Ko Solve Karke Dekhieye