Jio platform me Facebook ne 22 April ko sabse pahle niveshan ghosit kiya tha. Uske baad silver lake vista equity wa general Atlantic sahit aanya companyo ne nivesh ka eeilan kiya.
Qualcomm Ne 730 Crore Kiya Investment
Qualcomm Intercom ki investment se jude ikai Qualcomm venture. Reliance industries ke digital wing Jio Platforms me 730 crore rupe ka nivesh karega. Is vishesh ke jarie Qualcomm venture RIL ki digital ikai ki 0.15 % hissedaari khareedegi. Reliance ki oor se zaari vigyapan me kaha gaya hai ki 22 April,2020 se lekar ab tak yah. Company me nivesh se jude 13th announcement hai. Iske sath RIL ne Jio Platform me 25.24% ki hissedaari ki bikri ke jarie 1.18 lakh crore rupe juta liya hai.
Company ki oor se jaari vigyapan me kaha gaya hai ki is nivesh se Qualcomm aur Jio platforms ke beech ke sambhand aur gahre honge. And Jio platforms ko desh me 5G infracture ko khada karne aur Indian customers ko service provide karane me madad milegi.
Mukesh Ambani Is Deal Pe Kya Bole?
Reliance industries ke Chairman aur Managing Director Mukesh Ambani ne is deal ke baare me kaha. ” Jio platforms me nivesh ke roop me Qualcomm ventures ka welcome karte hue mujhey kafi khushi ho rahi hai. Moreover,Qualcomm lambe samay se se hamare kafi aahem sajhedar raha hai. Thos evam surakshit wireless network ke vikas ke jarie sabhi cheezzo ko connect karna. And bharat me digital connectivity ka labh har kisi ko pahuchana hamara sajha sapna hai. Most importantly, Wireless technology me world leader hone ki wajha se Qualcomm ko prodhaygiki se judi gahri samajh hai. Isse hame hamari 5G ke sapne ko poora karne aur bharat ke logo aur companiyo ke transformation me madad milegi”
Other Investors Jio Platforms pe
Firstly,Facebook ne 22 April,2020 ko sabse pahle Jio platforms ki announcement ki thi. Later,Silver lake,Vista equity,General Atlantics,KKR,Mubadala ke Silver lake ne aatrikt nivesh kiya. After that ab Dhabi investment authority(ADIA),TPG,pif aur intel ne bhi nivesh ki ghosna ki thi.
Qualcomm duniya ki agradni wireless technology hai.Yah company 5G ke vikas, launch aur vistar ke liye kam karti hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par