Kedarnath Mandir Ke Kappat Khulne Ka Intzaar Puri Duniya Kar Rahi Thi Aur Ab Vo Intzaar Khtm Hone Vala Hai. Kedarnath Dham Ke Darshan Ke Liye Log Mahino Intzaar Karte Hain. Yaha Jane Par Aapko Ek Alag Hi Anubav Hota Hai Ya Aisa Mano Ki Shiv Ji Krapa Is Mandir Aur Yaha Ke Shrdhaloun Par Bani Hue Hai. Kedarnath Dham Har Tarf Se Pahadon Se Ghira Hua Hai. Ek Traf Kareeb 22 Hazaar Ft. Uncha Kedarnath Hai, Dusri Tarf 21 Hazzar 600Ft. Uncha Kharchkund Aur Tisri Traf Hai 22 Hazzar 700F.t. Uncha Bharatkund Yaha Har Saal Lakhon Bhkt Aate Hain.
Kaise Jai Kedarnath?
Kedarnath Ek Pavitra Teerthsthal Hai, Jaha Bhagvaan Shiv Ka 11vaan Jyotirling Isthapit Hai. Kedarnath Ki Yatra Haridwaar Ya Rishikesh Se Start Hoti Hai. Haridwaar Desh Ke Sabhi Bade Aur Main Cities Se Train Duara Juda Hai. Haridwaar Tak Aap Train Se Aa Sakte Hain. Yaha Aage Jane Ke Liye Aap Taxi Book Kar Sakte Hain Ya Bas Se Bhi Ja Sakte Hain. Haridwaar Se Sonprayag 235 K.M. Aur Sonprayag Se Gaurikund 5K.M. Hai Aur Aap Chahe To Apni Car Se Bhi Ja Sakte Hain.
Iske Aage 16K.M. Ka Rasta Aapko Paidal Hi Chalna Hoga Ya Aap Palki Bhi Le Sakte Hain. Aapko Raste Par Bahut Sambhal Kar Chalna Hoga. Haridwaar Ke Raste Mein Aapko Aise Bahut Jagh Milegi Jaha Aap Night Mein Stay Kar Sakte Hain. Aap Chahe To Guptkashi Mein Bi Stay Kar Sakte Hain Kyonki Guptkashi Se Gaurikund 1 Se 1:30 Hours Ka Hi Rasta Hai.
Aap Apna Samaan Hotel Ya Guest House Mein Rakhwakar Guptkashi Se Morning Mein 6 Baje Nikal Jai Aur 8 Baje Tak Gaurikund Ki Chdhai Shuru Kar Dein. Shaam Tak Aap Kedarnath Pahunch Darshan Kare Aur Night Mein Vahi Ruken. Ek Baat Aur Jaan Lein Aap Log Ki Gaurikund se Kedarnath Ke Raste Mein Dohphar Baad Weather Khraab Ho Jata Hai Jo Kareeb 2 Se 3 Baje Tak Khraab Rehta Hai. Aur Ye Koi Ek Ya Do Din Nahi Balki Kar Din Hota Hai.
Kab Jai Kedarnath?
Kedarnath Jane Ke Liye May Se October Ke Beech Ka Time Ek Dam Perfect Hai Kyonki Is Duraan Mausam Kafi Accha Rehta Hai. Bhari Bafrbari Ke Kaaran Kedarnath Ke Mool Nivasi Bhi Winter Mein Palayan Kar Jate Hain. Aur Vaise Bhi Yeh Mandir Keval Summers Mein Hi Khulta Hai. Agar Aap Rainy Season Mein Jate Hain To Mat Jai Kyonki Is Duraan Land Sliding Ka Khatra Badh Jata Hai Aur Sabhi Raste Band Ho Jate Hain Aur Aap Vaha Fans Sakte Hain.
Kedarnath Jana Chate Hain To Jaan Le Ye Jaruri Battein…|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin