in

Kya Choreographer Saroj Khan Ko Bhi Hai Corona?

Famous choreographer Saroj Khan ne Bollywood ke bahut hi mashoor celebrities ko choreograph kiya hai. And Wo ek successful choreographer hai. Saroj Khan ko beete kuch dino se sans lene me dikkat hone ki wajah se unhe Mumbai ke ek hospital me admit kiya Gaya hai. PTI ki information ke according Saroj Khan ko Bandra ke Guru Nanak Hospital me admit kiya Gaya hai. Hospital me unka Corona Test bhi hua jiski report negative aai hai. Saroj Khan ki reports ke mutabik unme Covid-19 ke koi bhi issues Najar nahi aaye hai. Source ke according,  Saroj thik hai, aur slowly-slowly recover kar rahi hai. Saroj Khan 1-2 din me Hospital se discharge ho Sakti hai. Fans ki prayers unke saath hai.

Saroj Khan Ka Career

Saroj Ji ne apne kaam se khoob pehchan banai hai. 22 November 1948 ko janmi Saroj Ji, Bollywood me aisa naam hai, jise har koi janta hai. Har koi unke kaam ki tareef karta hai. Saroj ke career ki baat kare toh unhone something 2000 songs me choreography ki hai. And apne kaam ke liye Saroj Ji ko 3 baar National Award se bhi nawaja ja Chuka hai. Iske sath hi Saroj Ji ne kai famous songs par choreography ki hai. Jisme “Dola re Dola”,  “Ek do teen”, “Ye Ishq haaye” aur “Nimbuda” Shamil hai. Saroj Ji ne last choreography film “Kalank” ke “Tabah ho Gaye” song ko kiya tha.

Sridevi was like a daughter to me, says choreographer Saroj Khan

Jisme Madhuri Dixit nazar aayi thi. Saroj Ji ke kuch gaane sabse jyada popular hai jaise ki Anil Kapoor ki “Mr India” hit film ke song “Kaate nahi kat tey” me Shri Devi aur Anil Kapoor ko picturize kiya tha, “Dil wale dulhaniya le Jayenge” film ka song “Zara sa jhoom lu mai” ko bhi inhone hi choreograph kiya tha, Year 1991 me aayi film “Beta ” ka song “Dhak -Dhak karne laga” bhi Saroj Ji ki choreography se hi superhit hua tha aur Film “Devdas” ka song “Maar dala” bhi Saroj Ji ne choreograph kiya tha. Film Thanedar ka song “Tamma-Tamma” bhi bahut famous Raha.  Jisko Saroj Ji ne choreograph kiya tha.

Famous choreographer Saroj Ji ko sans lene me hue problem.

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook Instagram Twitter Linkedin

[starbox Id=kajal]

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Kanchi Singh Ki Personal Life And Popularity

WhatsApp Messenger Ke Benefits And Harms