in

Lockdown Mai Fat Kam Kare Aur Sath Sath Janiye Kaise Hogi Immunity Boost .

Lockdown mai kya khaye jisse ho fat kum aur sath sath badhe immunity. Read to know aur aaj hi se try kre.

Mask , sanitizer, social distancing ye sab follow krte bahot din ho gye na. Well Corona se bachne ke liye immunity boost krna bahot important hai. So,Healthy rehne ke liye immune power ko strong rakhna chaiye. Jaise kaha gya hai “Prevention is better than cure” jiska matlab“Roktham ilaaj se behtar hai” .

Chalo aaj seekhte hai aisa kya kre ki Lockdown mai fat kum aur immunity boost bi ho jaaye

“Khud bi seekhe aur dusro ko bi sikhaaye”

Lockdown mai kare fat kum aur immunity boost.
lockdown mai hoga fat kum aur immunity boost.

FOODS TO EAT JISSE HO FAM KUM AUR IMMUNITY BOOST :

  • Daliya
    Daliya fat kam krne ke liye achha hota hai because isme calorie bahot kam hoti hai . USDA ke nutritional quantities ke anusar 1 cup daliye me 150 calorie hoti hai jo bahot kam hai jisse weight loss krna easy hai.Aur metabolism badhayega,diabetes patients ke liye achha hai . and Daliya doodh ke sath ya namkeen Daliya bi bna skte hai.
  • Turmeric (Haldi) –
    Turmeric ka sevan iss time bahot jaruri hai isko garma doodh me mila ke peene se immunity boost hoti hai . Isko hum tea me mila ke bi pee skte hai . Paani aur kuch spices jaise cinnamon, cloves ke sath mila ke pee skte hai. Isko haldi doodh kehte hai.
  • Yoghurt (Dahi) – Dahi ek milk product hai ye hai ek low calorie breakfast food hai isme protein hota hai. Isse hum bahot saari cheeje mila ke bana skte hai jaise raita, sugar ya salt add krke kha skte hai . Isse weight bi maintain rehta hai aur digestion bi acha hota hai
  • Body ko hydrate rakhna – ye sbse jada important hai .Bharpur matra me paani peene se stomach ka fat bi maintain rehta hai aur body hydrate rehti hai.
  • Tea honey ke sath – ye bahot hi sehatmand hai isse immunity boost hoti hai and fat kam krne me sbse jada achha hai. Tea me honey milane se sugar level bi control me rehta hai. So ,Jinhe sugar ki problem hai vo chai me honey mila ke chai pee skte hai.
  • Aloevera- ye bahot sehatmand aushadi hai. Aur Iska sbse jada upyog iss corona pandemic ho rha hai isse immunity boost hoti hai aur healthy rehte hai. Iska upyog ke bahot tarike hai hum isko aise bi paani ke sath kha skte hai aur “ kaadha” bana ke bi pee skte hai jisme aloevera, neem aur gilloy mila ke garam krke bana skte hai . So, Ye ek dum pkka ilaaj hai Corona se bachne ka . Yaha Ministry of Ayush se kadha banana seekhe aur roj ek baar jarror piye because isse immunity level badhane asaan hai.
  1. Broccoli- ye bahot hi healthy vegetable hai. Isme 91% paani hota hai isko boil krke kisi bi dish me mila ke kha skte hai . So ,Ye immunity build up krta hai aur bahot vitamins hote hain ,so iska sevan jarror kre.
  2. Green Tea – green tea me vitamin C aur anti -oxidants ki properties hoti hai so, immunity boost hoti hai. Green tea se sbse jada faeda fat control krne me hota hai. So yeh sab se apni diet mai dalne se hoga Lockdown mai fat kum and immunity boost. So ,agar apko stress-free rehna hai green tea piye aur fat bi kam kre.

Iss corona time me 2 cheeje aur bi bahot important hai – proper neend lena aur exercise , because in dono ka immunity boost krne me sbse bada role hai . So, 7-8 ghante ki Achhi neend leni chaiye because usse body aur mind ko proper rest milta hai and ek routine set hota hai jisse dimag achhe se kaam krta hai because mind ko stress free rakhna chaiye.


So, Kam se kam adhe ghante yoga mediation se immunity bahot jada badhti hai aur stress kam hota hai sath hi sath andruni shakti milti hai . Yoge sehat ke liye bahot jaruri hai aur strong rehne ke liye because isse puri body ki activity badh jati hai aur insan andar bahar se healthy ban jata hai.

So ,sb chahte hai na ki healthy rahe to ye sab Jaroor try kre because jitna hum apni immunity ka khyaal rakhenge utna hi Corona se bache rahenge.

So ,aap bi seekhe aur upyog kre aur sbko sikhaye.
To iss Corona time ka faeda utha ke hum apni immunity badha skte hai and bs thoda sa time nikal ke apni immunity pe dhayn de aur swasth rahe aur ghar pe hi rahe.
Stay Stafe Stay Healthy….!!!!

Also Read: Latest Stories from on EntertainmentLifestyle and Currently In Trend

Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame  Facebook Instagram Twitter Linkedin  | Pinterestpar

 | Website

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

What do you think?

Written by Ratnakar Upadhayay

A Business Development Manager and Internet Industry veteran with more than 7 years of experience in Sales Operations, Events & Weddings, Social Media Marketing, Business Development & Strategy.

Manny Ka Kizie Ke Liye ‘Last Letter’ Is Just Like Alvida From Sushant To Us-

8 Tips Jo Ladko Ke Dressing Style Ko Bna Skte Hai Perfect .