Kuch dinon se badi charcha ho rahi hai ki kya jo ye bade bade messaging platforms hai like facebook , twitter , WhatsApp telegram inhe block kar diya jayega.
Government most probably report mangne wali hai sabhi social media platforms se such as Facebook, Instagram and Twitter. Aur Unse poochha jaega ki aapne in new intermediary guidelines ko fulfill Kiya Hain ya nahi.
Aur Agar pata chalta Hai Ki Un guidelines ko follow nahin kiya gaya To jo officials hai unke dwara kafi strict actions liya ja sakte hai. Strict actions mein kya ho sakta hai ?kya inhe block kiya Jayega? Aur kya koi aur nahin policy aaegi? To Abhi kuchh nahin keh sakte .Hone ko to kuch bhi Ho Sakta Hai…..
Kyunki government ne clearly 3 months ka time diya tha.#messaging platforms
Protection under section 79
Jo social media hote hain unhein protection Diya jata Hai under section 79 of the information technology act. To Agar yeh guidelines ko follow nahin karte hain to government ne bola tha ki jo yeh protection hai ham aap se le lenge. Sabse pehle jaante Hain Ki protection hai kya cheej to agar hum example lekar chale to Twitter ka to Twitter par to koi bhi to tweet kar sakta hai. #messaging platforms
Koi bhi fake news faila sakta hai , bad words use kar sakta hai . Tu kya hota hai in social medias ka protection diya jata Hai under section 79 jismein kahan chahta Hai Ki social media platforms Keval Ek intermediary ki trah kaam kar rahe hain.# messaging platforms
If Protection Act Removed ? | Messaging Platforms
Aur Agar section 79 hat Gaya to iska matlab ye hai ki jo bhi hum post karte hain Twitter par to ye maana Jayega ki post company hi kar rahi hai ya nahin sari responsibility Twitter ke upar a jayegi. Koi bhi person Aakar Agar kuchh bhi galat post kar deta hai to uska iljaam use person ke upar nahin direct twitter ke upar hi Jayega.messaging platforms
Bharat ke hi jo ek company Hai Koo joki twitter ka hi alternative aaya hai. Isi platform ne sirf abhi tak guidelines ko follow Kiya jo government ne Di thi .#Facebook , Twitter
What was New guidelines ?
New guidelines jo government ke dwara di gayi thi usme sabhi platforms ko resident grievance officer ,chief compliance officer and a nodal contact person inhe appoint karna tha lekin abhi tak koo platform ke ilava aur kisi ne bhi inhe appoint nahin kiya hai. #messaging platforms
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin