Michael Jackson,ye naam sunte hi log unke dance and singing ko bahut appriciate karne lagte hai. Basically,Michael Jackson ek American superstar the.Vo ek singer ke sath sath songwriter and dancer bhi the. Unke songs ka fans kon nahi hai and Jackson ab tak ke sabse jyada bikne wale music kalaakaaron mein se ek hai. Inhone career ki shuruwat apne 5 brothers ke saath,ek ‘Jackson Band’ bana kar ki thi. Micheal Jackson ki moonwalk se leker unke top ke gaano tak,har generation unki fan hai. 25th June 2009 ko London mein shuru hone wale, “This Is It” ke release hone se pehle unke cardiac arrest se death hogai.
Kaise Hui Death?
Michael Jackson ki death anniversary 25th June ko hoti hai. 25 June 2009 ko unki death ki news-sun kar puri Duniya us time Kafi sadme me chali gai thi.”King of Pop”, Michael Jackson ki United States of America ke Los Angeles me drug overdose se death hui thi. Michael Jackson ki aaj11th death anniversary hai. Pop ke king, Michael Jackson ko tribute dene ke liye unke ye top 11 songs jarur sunne. Unki death ke baare me sun kar, Jackson ke fans ke saath-saath pura music industry bhi shock hogaya tha. Michael aaj bhi ek legend hai or unke kaam se logo ko aaj bhi inspiration milti hai.
Michael Jackson Ke Top List Songs!
- Billie Jean: Ye song Michael ne likha bhi and Gaya bhi.Ye song 2nd January 1983 me release hua tha.kya aapko pata hai ki ye song Michael ne 6 ft ke cardboard me khade hokar Gaya tha.
- Beat It: Ye song especially Michael ne isliye approach kiya tha taki college students and children ise enjoy kar sake. Ye bhi ek thriller song tha. Iss song ko 1983 me Grammy Awards ko record of the year mila hai.
- Rock with you: Ye song 16th July 1979 ko release hua tha. Is song ne Michael Jackson ko year 1980 me first Billboard number-one singles score mein help ki. Iss song ko platinum ka certification mila. Also, is song ko New Zealand mein gold bhi mila.
- Heal the world: 2001 mein fans ke saath internet chat mein, Jackson ne kaha ki ‘Heal the world’ bana kar unhe proud feel hota hai. Michael Jackson ne Heal The World Foundation bhi banaya Joki ek charitable organisation hai. Ye ‘Charitable organization’ children ki life ko behtar Banane ke liye design kiya Gaya tha. Therefore, ye organization ye bhi shikhara hai ki kaise dusro ki help ki Jaye.’ Heal the world’ song 26th November 1991 me release hua tha.
- You Are Not Alone: Ye song 15th August 1995 me release hua. Ye first song hai jo United States ke history me billboard hot 100 me #1 me aya tha.
- Thriller: Ye song starting se end tak musical horror short film thi. Iss track ke video Ko first time 2009 mein National Film Registry me register kiya gya tha.
- They Don’t Care About Us: Album- History: Past, present and future, book 1. Ye Jackson ka ek protest and sabse controversial song hai. America me, antisemitic lyrics ke allegations ko lekar media investigation me unse maafi mangne ko bola tha. Fir Jackson Dobara apne career me lag Gaye.
- Black or White: Black or white 11th November 1991 ko release hua tha. Black or white ko billboard number #1 se honour kiya Gaya tha. Is song ka music video album me dikhai deta hai. Album : Dangerous: The Short Film. Therefore, ye track Jackson ka 12th number,ek solo artist ke roop me hit tha.
- Remember The Time: Iski Releasing date- 14th January 1992 thi. Generally, contemporary critics ki wajah se ye song acchi tarah se mill Gaya tha. Yeh song commercially successful Raha, and billboard hot 100 par number 3 par aa Gaya tha. Ye recording, Industry Association of America ke through certified platinum bana tha. Plus, MJ ne Best Male R&B single train award bhi jeeta.
- The Way You Make Me Feel: Ye song 9 November 1987 me release hua tha aur iski album ka nam tha- BAD. Contemporary critics ne iss song ko bahut ache reviews diye. Jackson ne 2001 me ek concert me perform kiya tha jisko Britney Spears ne join kiya tha.
- Smooth Criminal: Iss song ki album – ‘Bad’, 14th November 1988 me release hui thi. MJ ko people’s choice award mila tha unki best music video ke liye.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin
[starbox Id=shivangi]