Mizoram Students Trek For Hours Through Dense Forest To Take Online Exams
Digital Divide | Mizoram Students
Mizoram students ko 3 kilometre ki chadhai karne padati hai online exams dene ke liye kyunki unke area Mein internet connection bahut jyada poor hai. Covid-19 pandemic ke samay hamein bahut jyaada nuksan hua Hai chahein business ki baat ho ya fir economic loss ki lekin sabhi cheeze to dheere dheere time ke sath recover bhi ho jaenge lekin most importantly jinko loss hua hai woh hai bacchon ki padhaai ka jisko recover karna mushkil hoga.Mizoram Students
Bhot schools ne online classes chlai lekin India mein bhot jyaada log hai jo phone afford nhi kar sakte and kuch areas hai jahan internet nhi aata to wahanpar students ne bahot jyaada suffer kiya. #Mizoram Students
Mizoram Case Study | Mizoram Students
Ham ab yahan par Ek Mizoram ka case dekhte hain lekin ye sirf Mizoram Ki Ek kahani hi nahin balki poore Bharat mein hamen aisi kahaniyan sunne ko milengi. Mizoram ka ek remote village Hai Mawhrei village yahan par students jo hai woh pahad chadhkar jaate Hain jo ki Myanmar se 10 kilometre ki doori par hai. Aur poore village mein sirf yahi Ek place Hai Jahan par stable internet connectivity hoti hai. Is remote village mein sabse jyada issue poor network connectivity ka hai. #Mizoram Students
Online Exams | Mizoram Students
Jo undergraduate students hai jinke paas phone bhi honge unhein itni problem aa rahi hai ki unhein trek karke Jaana pad raha hai to jo school students hai unhein kitni problem aati hogi.school students mein kuch ke paas to phone bhi available nhi hoga . Mawhrei village , autonomous district council in southern part of India ke andar aata hai.
Aur yahan the mara students organisation (MSO) hai unhone milkar bamboo shelter bnaya hai taki bache aaram se baithkar apna exam likh paaye . Aur wo shed banana , timber and bamboo ko use karakar bnaya gaya hai .Mawhrei village se 43 students hai jo baithte hai is exam ke liye said Judson KT Zephatha , general secretary ,MSO. #Mizoram Students
Mizoram Universities | Mizoram Students
Mizoram University 2000 Mein establish hui thi and us University ke 33 affiliated college and one constituent college hai. 1 June se online exam start hue the. Assistant professor of Aizawl Government College rocha maliniya ka kahana hai ki poori state mein internet connectivity ki bahut jyada problem hai. Moreover students and teacher’s donon Ke liye hi ye bahut bada Issue hai.#Mizoram Students
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin