Jaise jaise petrol aur diesel ke daam badhte jaa rahe hai. And Log electric vehicles ki taraf attract hote jaa rahe hai. Electric 2-wheeler segment me apni pakad banane ke lie OLA ne bhi ek announcement kar di hai. OLA Electric Mobility world ki sabse badi electric scooters ka plant lagane jaa rahi hai. OLA ka kahna hai that by end of July market me OLA Electric Mobility ke scooters aane start hojaenge.
Thursday ko OLA ne bataya ki Indian market me company July 2021 me electric scooter launch karne ka plan kar rahi hai. Iske sath hi OLA ne ye bhi statement diya ki ve iss scooter ki charging ke lie Hyper Charger Network bhi launch karne vaale hai. Jiske under more than 1 lakh charging point honge aur desh ke 40+ cities me faile honge.
Company ne desh bhar me next 5 years me 2-wheeler charging network banane ke lie 14.9k thousands crores ka budget tyaar kiya hai. OLA ye charging network apne partners ke sath mil kar tyaar karegi. Thursday ko hue company ki virtual meet me OLA ke chairman & CEO Bhavish Agarwal ne ye saari baatein rakhi and kaha Electric Mobility hi future hai.
Aapko bata de last year hi OLA ne announcement ki thi ki vo lagbhhag 24000crs invest kar rahe hai apne Tamilnadu ke pehli Electic scooter factory ke lie. And ye world ki sabse badi scoter manufacturing facility hogi, jisme har saal lagbhag 24 lakh scooters manufacture honge.
OLA ne ye bhi kaha ki pehle saal company lagbhag 100 cities me 500 se bhi jyada charging point tyaar karva rahi hai. Jo comparatively current status ka double hai. According to OLA lagbhag, 5 saal lag jaenge 400 cities me 1 lakh charging point banane me. But start pehle saal me 100 cities ko coverup karte hue 5000 charging points ko jasmine se hoga.
OLA claim karti hai ki vo apne customers ko OLA Hyper Charger Network ki service ke through super-fast charging solution degi. In charging points par within 18mins gaadi 50% charge hojaegi. And is charging se scooter lagbhag 75 KM tak ki journey coverup kar Sakti hai
Ab paisakamae telegram par available hai to turant hi hamare telegram channel ko join kariye so that koe bhi update miss na ho. Aap hamse hamare social media channels par bhi connect ho sakte hai. Facebook | Twitter | Instagram | Linkedin.