Poco X2, Samsung Galaxy M21, Redmi Note 8, Redmi8, Redmi 8A Dual and Realme C3 ye 6 smartphone jinki last month me price increase hue hai. Smartphone companies ne ye Dawa kiya hai ki price increase hone ka reason coronavirus and GST hai. Aap logo ko ye Janna bhi zaroori hai ki Is saal GST April month me Lagoo hue hai GST rate badh gae hai.
Price Increase In Poco X2
last week Poco X2 ke price me increment hue hai.Phone jo pahle Rs.16,999 me shuru ho rahe the ab unka starting model 6GB RAM , 64GB storage ki price Rs.17,499 hai and 6GB RAM, 128GB storage ki price Rs.17,999 se badh kar Rs.18,499 ho gye hai. However, Poco X2 ke 8 GB RAM , 256GB storage model me koi bhi price increase nahi hua hai. Ye model apko Rs.20,999 me hi available hai.
Samsung Galaxy M21
Samsung Galaxy M21 smartphone ki price increase hue hai. Iske sabhi stores me sare varient me Rs.500 ki increment hue hai. Smartphone ke 4 GB RAM, 64GB storage model ki price Rs.13,499 se badh kar Rs.13,999 ho gye hai but Samsung Galaxy M21 ke 6GB RAM, 128GB storage Rs.15,499 me hi available hai isme kisi bhi type ki increment nahi hue hai.
Redmi Note 8
Xiaomi ne Redmi note 8 ke price me bhi increment kiya hai. Iske 4GB RAM, 64GB storage ka price Rs.11,499 se badh kar Rs.11,999 ho Gaya hai and 6GB RAM, 128GB storage model ka price Rs.14,499 se badh kar Rs.14,999 ho Gaya hai. Launching ke baad iska price Rs.2,000 badh Gaya hai.
Price Increase In Redmi 8
Redmi 8 ka price Rs.200 increase Gaya hai. Smartphone ke 4GB RAM 64 GB storage variant ka price Rs.9,299 se increase ho kar Rs.9,499 hogaya hai. Iss phone ko last year launch kiya Gaya tha October me Rs.7,999 ki starting price pe, jo ki 3GB RAM, 32 GB storage me available tha, but ab company ne ye model band ho Chuka hai.
Price Increase In Realme C3
Last month Realme C3 ke price me increment hue, jiske baad 3GB RAM, 32GB storage model ka price Rs.7,499 se increase hokar Rs.7,999 ho gae hai. Iss phone ko Rs.6,999 me launch kiya Gaya tha, but April me GST ki vajah se Rs.500 ka increment ho gye hai.
Redmi 8A Dual
Redmi 8A Dual ke 2GB RAM, 32GB storage variant ka price Rs.7,299 se badh kar Rs. 7499 ho Gaya hai. But Redmi 8A Dual ke 3GB, 32GB storage ka price Rs. 7,999 me koi bhi changes nahi hua hai and sale service bhi available hai. Xiaomi ne kuch hi din baad iska 64GB storage wala variant bhi nikala jiski price Rs.8,999 hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin