Toh chaliye baat karte hai aaj PTSD and Mental illness ki. Kya aapko pata hai ki 27 June ko America mein National PTSD manaya jata hai. Iska reason ye hai ki wo PTSD ek mental health disorder ka awareness pure world mein spread karna chahate hai. However, jab kisi ke past life me kuch disturbed events hote hai tab ye hota hai. PTSD me aise events jisme sexual or physical abuse, person’s life threat etc. Although, it’s not easy to identify ki aapko PTSD hai. Jab koi insaan jaan jata hai ki uske mind mein kuch problem hai toh wo sochta hai ki wo depression mein hai.
PTSD Kya Hota Hai?
PTSD ko ham Post-Traumatic Stress Disorder kahte hai. Ye disorder world me 27 June ko awareness ke liye manaya jata hai. So, ye disorder tab hota hai jab kisse insaan ke past life mein kuch galat hua ho. PTSD unspecific events ki wajah se shuru hote hai. Jab life ek dum change hogye ho ya relation me break lag gya ho. Iske liye Right Treatment bahut jaruri hai. Because jab tak aap iske baare me aware nahi honge, poore tarike se jaanoge nahi ki aapko mentally kya problem hai tab tak you’ll not get the solution.
PTSD And Depression Ke Beech Kya Difference Hai?
PTSD and Depression dono hi similar symptoms dete hai. Also, ye bhi ho sakta hai ki aapko dono hi ho. Bad mood, good mood, sadness- ye life ka ek part hai, and ve aate hai aur jaate hai. But agar aapki present life mein bhi yahi hora, and aap emotionally track mein phas chuke hai. Then chances hai ki aapko Depression or PTSD ho sakta hai.
PTSD Kya Hota Hai?
PTSD ke symptoms certainly aapko immediately nahi dikhte hai. Iske symptoms Dheere Dheere aapki normal life ko and complicate karte jate hai. And Yaha tak ki jab aap uss incident ko baar baar yaad karte ho toh aapka mood kharab ho jata hai and aap depressed hojate ho.
PTSD Ke Symptom Kya Hai?
PTSD ke kuch common symptoms hota hai, Najar banae rakhe –
1) Wo incident aapke dil aur diamg mein rahta hai and bhale hi aapko wo pareshan karta ho.
2) Apne past ke bad experience ko present me dekhna,and baar baar uske baare mein soch soch kar pareshan hona.
3) Jab koi past ke baare mein baat kare aapse, then emotional hojana.
4) Aap hamesha dar dar ke rahte ho. Aap galat habits mein bhi padh sakte ho jese bahut jyada drink karna, smoking karna and drugs lena. Aapko sone ya dhyaan karne mein bhi problem ho sakte hai.
5) Aap apne friends and family se dur rahne lagte ho, bahar ghumna band kar dete ho.
DEPRESSION Kya Hota Hai?
Life me depression tab aata hai jab insaan current situation mein loss dekh Raha ho. then chahe wo divorce ho sakta ya aajkal ke breakup. Ye aksar aata hai and chalaa jata hai. Ye 2-3 weeks tak rahta hai and phir chala jata hai.
Depression Ke Symptom Kya Hai?
1) Dukh ya niraash feel karna.
2) Un cheezon se koi happiness na milna jisse pehle aap enjoy karte the.
3) Bahut jyaada neend lena.
4) Tired rahna and thoda kaam karne mein hi thak jana.
5) Bahut bhook lagna ya ek dam bhook na lagna.
6) Suicide ke baare mein sochna.
7) Bekaar mahasoos karna and cheejon ke lie khud ko doshee maanate rahen.
Then What’s The Treatment?
1) Logo se baat kare apni situation ke baare mein and parents ho toh aur behtar, jinpe aapko bharosa ho.
2) Ese jagah ya insaano se door rahen jo aapko aapka past yaad dilate ho.
3) Aapne upar dhyaan lagaaye, apni family ke saath time spend kare and khoob exercise kare.
4) Morning routine banaye and daily god ko praise kare.
5) Also, agar aap 2-3 weeks ke bad bhi nahi sambhal pa rahe then in symptoms ko Najar Andaz na kare and immediately apne doctor se consult kare.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur Likhe & share kare apne friend circle me. Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare hame Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin par