Congress Leader Rahul Gandhi ne sunday ko coronavirus cases mein hike ko dekhte hue west bengal mein apni sabhi election campaigns cancel kar di.
Rahul Gandhi ne tweet kar kaha, main sabhi political parties ko advice karna chahunga ki ve es situation mein badi sarvajanik railiyan ayojit karne ke parinamon ke baare mein geharai se sochein.
Rahul Gandhi ne saturady ko west bengal mein apni rally mein record voting ki appeal ke liye Prime Minister Narendra Modi ki alochna ki. Unhone ek tweet mein kaha, “yeh bhi pehli baar hai jab bimar logon ki itani bhari bhid or record deaths dekhne ko mili hain.
NDTV news ke mutabik modi ne saturday ko asansol district mein kaha tha ki unhone apne rally mein itni bade numbers me logon ko kabhi nahin dekha tha.
News channel ki mane to unhone ye v kaha ki, main loksabha elections ke dauran do baar yahan aya hun “pichhali baar main babulji { Babul Supriyo } ke liye vote mangne aaya tha. pahali baar main apane lie aaya tha lekin bhid eske one-fourth thi lekin aaj, sabhi dishaon mein main logon ki bhari bhid dekh kar bahot khush hun … pahali bar is tarah ki rally dekhi hai. Esi ko lekr opposition parties ke leader Rahul Gandhi ne unpe kai sawal khade kar diye.
Indian Express ko diye interview mein ( BJP ) ke ek leader ne kaha ki jin states mein chunav nahi ho rahe the, wahan bhi coronavirus ke mamle badh rahe the. Unhone Rahul Gandhi se puchha, “kya maharashtra mein chunav ho rahe hain?”.
Assam, Kerela, Tamil Nadu or Pondicherry ke assembly elections ho gaye hain. Eighth phase me hone wale West Bengal elections mein 3 rounds avi pending hain.
Saturday ko Election Commission ne West Bengal mein shaam 7 baje se subah 10 baje k beach political campaigns or gatherings par rok laga di thi saath hi antim 3 charanon k voting ke prachar ke liye silence period 48 ghante se badhakar 72 ghante kar di.
Election Campaign | Rahul Gandhi | Rv Talks | Ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin