Bollywood Vs South Cinema Vivaad Rukne Ka Naam Hi Nahi Le Raha. Social Media Par Active Rehne Vale Director Ramgopal Verma Aksar Bollywood Ki Films Aur Is Indusrty Mein Kaam Karne Vale Kalakaron Par Tanj Kaste Rehte Hain. Is Baar Bhi Unhone Apne Twitter Handle Par Hindi Cinema Ki Big Budget Vali Film Ke Samne South Industry Ki Films Ki Success Par Comment Kiya Hai. Unhone Twit Kiya, ‘Hindi Mein Ranveer Singh Ki Jayeshbhai Jordaar Ne 11.75 Cr Rupaye Ka Collection Kiya Vahi, Mahesh Babu Ki Film Sarkaru Vari Pata Ne 135 Cr. Rupye Ki Kamai Ki.
Ramgopal Verma Ne Bollywood Pat Kasa Tanj
Bite Dino Box Office Par South Ki Films Ko Mil Rai Success Se Khush Verma Ne Apne Twitter Account Par Likha Tha, ‘Jis Trah South Ki Films Theaters Mein Kamaal Kar Rahi Hain Aur North India Ki Films Nahi Chal Pa Rahi Hain, Use Dekhkar Aisa Lag Raha Hai Ki Bollywood Ab Jald Hi Sirf OTT Ke Liye film Banana Shru Kar Dega.‘ K.G.F 2 Ki Huge Success Par Baat Karte Hue Ramgopal Verma Ne Kaha, ‘Yash Starer K.G.F 2 Ki Box Office Collection Dusre Sbhi Stars Ko Khtm Karta Ja Raha Hai. K.G.F 2 Ek Aandhi Ki Trah Hai, Jo Sabhi Badi Films Ko Teji Se Nigal Raha Hai.
Bollywood Hua Phusss
According To Reporters, Bollywood Ke Hath In Dino Keval Nirasha Hi Hath Mein Lagi Hai. Ek Ke Baad Ek Films Box Office Par Phuss Hoti Nazar Aa Rahi Hain. Eid Ke Mauke Par Release Hue Heropanti 2 Aur Runway 34 Ke Buri Trah Flop Hone Ke Baad Ranveer Singh Ke Starer Jayeshbhai Jordaar Ne Bhi Box Office Par Dum Tod Diya Hai. Divyank Thakkar Ke Direction Mein Bani Is Film Ki Halat Itni Past Hai Ki Pehle Weekend Mein 12 Cr. Rupye Bhi Nahi Kama Saki. Vahi Mahesh Babu Ki Film First Weekend Mein 160 Cr. Rupaye Ki Kamai Kar Chuki Hai.
Ramgopal Verma Ne Phir Udaya Bollywood Ka Majak, South Ki Films Ko Kaha Best…|Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin