Ravichandran Ashwin ne apne social media account pe ek video share kiya. Bataya ki DRS ki ek aur technic Hamari Yuva pidhi ne develop kar daali. Jiska auro ko bhi Janna jaruri hai kaafi jaruri.
Kya Hai DRS?
Decision Review System (DRS) ne cricket Jagat me revolution la diya. Aaj se kareeb ek decade pehle 2008 me India Vs Sri-Lanka ke beech match ke dauran ise introduce kiya Gaya. Uske baad se to ye cricket ka ek unbreakable part ban Gaya. Umpires se le kar players tak ko isse hue kae fayade.
Modern technology ki advancement ke badaulat kaafi changes hue hai DRS me. Ye tool high-tech gadgets pe kaafi depend Karta hai, like slow-motion cameras, heat-sensors, stump microphones and multiple cameras. Jo ki har -possible angles ko cricket field me cover karti hai.
But Baccho Ke Is Group Ne Bataya- DRS Bina High Tech Gadgets Ke Bhi Possible Hai
Social Media par ek video viral ho Raha hai. Jisme baccho ke group ko Bina kisi cameras, ball-tracking device or snicko meters ke hi decision Liya ja sakta.
Ye hilarious video ko Indian off-spinner Ravichandran Ashwin ne apne social media account pe share kiya. Jiske baad se logo ka attention iski Taraf Gaya aur ye viral hogaya.
Ashwin ne post karte hue likha,”Can’t get over this.. don’t know how to caption it either”
Is video me teenagers ka ek group hai. Jaha batsman khelta hai and ek ball miss ho jati hai. And then Fielders aur bowlers ki appeal par umpire out declare kar deta hai. Thodi der baad batsman DRS ke lie appeal Karta hai hath use karte hue.
Iske baad se to players andaza legate hai. Like third Umpire alag-alag replays, ball-tracking and snicko ko Kaise dekhenge. But majedar baat to ye hai iske lie unhone koe modern technic nahi use ki Balki khud hi kar li.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin