Scientists kuch Is tarah se nature aur technology ko mix karna chahte hain ki ham plants ko samjhe. Aapko kaisa lagega agar aapne apne ghar ke bahar koi plant grow Kiya Hai aur fir aapki mobile per message aa raha hai plant ki taraf se ki mujhe ye problem ho rahi hai to aapko kaisa lagega. like aapke garden ke soil mein problem hai use thik kijiye ,mujhe khana chahie etc… In sab ke liye robo plant technology ka use kiya jayega.
Is tarah ke robo plant technology ko develop karne ka socha ja raha hai. Ye sunane main To Keval sapne jaisa hi lag raha hai lekin hamare scientist ise jarur pura kar kar dikhayenge. Singapore ke scientists robo plant technology per continuously kam kar rahe hain. ye Ek experiment Hai Jahan per nature aur technology ko sath mein laya ja raha hai.
ROBO PLANT TECHNOLOGY KE LIYE VENUS FLYTRAP PAR EXPERIMENT:
Is experiment ke liye scientists ne venus flytrap par electrods apply kiya jata hai aur sath hi thermogel.Robot plant technology ke liye jis plant ka use Kiya ja raha hai wo hai Venus flytrap .Venus flytrap carnivorous plant hai.
ROBO PLANT TECHNOLOGY KI JAROORAT KYUN???
Ab hum ye jante Hain ki humein is technology ki jarurat pad hi kyon rahi hai .Scientist ye sub steps kyon utha rahe hain. ye sub steps hamare climate change ko dekhte hue hi liye ja rahe Hain. kyunki jaisa ki ham jante Hain climate-change ke Karan hamari kitni crops kharab hoti ja rahi hai.
Researchers soch rahe hain ki ham phone applications ko plants ke sath connect kar sake. Technology se future me jo hamare farmers hai wo plants ki diseases ko bhi detect kar payenge. Plant khud hi alert bhejega ki main bimar hun. Isliye hi robo plant technology ki taraf focus diya jaa raha hai.
ROBO PLANT TECHNOLOGY IN AGRICULTURE:
Kuchh researches ka ye bhi manna hai ki agar humen sustainable agriculture chahie To hamen agriculture mein robots ka bhi use karna chahie. Agar hamaaj se kuchh samay pahle ki baat karen to tab log Apne hathon se hi sara kaam Kiya karte the. Aur fir dheere dheere animals ko use karna shuru Kiya. Aur fir dheere dheere machines ka use Kiya Gaya. Aur ab ham robots ko Lana chahte Hain. Jaise koi aisa robot invent kiya jaaye Jo Ek sath 10 farmers ka kam akele hi kar sake.
Ab bas intzaar hai to robo plant technology ko use krne ka.
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin