Rashtriya Swayamsevak Sangh (RSS) ke head Mohan bhagwat ne caste system pe ek statment diya tha. RSS Supremo Ne Maharastra me kaha tha, “bhagwan ne hamesha bola hai mere liye sab ek hai. unme koe jaati, varn nahi hai lekin pandito ne shreni banaee, jo galat tha.” Bhagwat ke iss bayan se brahmand samaj ke sath sath sadhu saint bhi naraz hai.

Brahman Community Ke Logo Ne Protest Kiya

As per the report by Amar Ujala, Ujjain brahman samaj ke officials ne somvaar ko pashupatinaath mandir me meeting ki. after that mohan bhagwat ke against me protest karna start kiya aur unke khilaaf naare bhi lagae.

Uttar Pradesh me bhi Mohan Bhagwat Ke bayan par halla macha hua hai. ABP Live ki report ke according, kanpur me deep cinema chaurahe ke pass “mai hu brahman mahasabha” ke logo ne zameen par baith kar hanuman chalisha ka paath kiya. protest karne vaalo logo ka kahna hai ki bhagwat ka ye statement brahman virodhi hai.

“Mai Brahman Hu Mahasabha” ne mohan bhagwat se statement lene ko kaha gaya. iske sath hi bola gaya agar bhagwat statement vapis nahi lete hai to vo kalyug ke vibhishan se kam nahi hai.

Protest ke sath sath social media pe bhi bhagwat ko kaafi jyada criticism mila. deshbhar se unko apne bayan ke lie ninda mili.

Santo Ne Bhi Kiya Protest

RSS head bhagwat ke bayan se na sirf brahman samaj ke log bhadak gae hai balki ayodhya ke santo ne bhi ninda ki hai. News18 hindi ke report ke according, santo ne kaha ki caste bhagwan ne hi banae hai. guno aur karm ke adhar par category banae gae thi.

Yati Narsinghanand Sarswati ne kaha santo ko bhagwat ke statement par koe reaction nahi dena chahiye. Narsinghanand ne kaha bhagwat caste ke adhar par hindu logo ko ladvaane me lage hai.

Mohan Bhagwat Ne Di Safai

Ravidas Jayanti ke mauke par mumbai me ek event ke dauran Mohan Bhagwat ne sirkat li. And Isme Caste Systeme & Brahman Varg ki bhumika par apna statement diya.

NBT ke reports ke according bhagwat ne kaha bhagwan ek hai aur usne sab ko ek saman hi paida kiya hai. categories pandito ne banaee hai. bhrahman community ne caste system and descrimination ko paisa kiya hai

Where as RSS Propaganda Chief Sunil Ambekar ne poore mamle pe apni safai di hai. Ambekar ne kaha bhagwat ji ke statement ko galat tareeke se liya ja raha hai. Mohan bhagwat ke pandito word ka matlb gyaani aur vidhwaano ke lie kiya gaya tha, kisi caste or reliegion ke lie nahi. Unka ye bhi kahna tha ki bhagwat ka bayan marathi me tha, and unke words ko galat tareeke se showcase kiya ja raha hai.

RSS ke sath sath BJP ke neta bhi bhawat ko bachane me lage hue hai. Kannauj se BJP ke MLA, Subrat Pathak ne kaha RSS leader ke statement ka galat matlab nikala gaya hai.


Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

You May Also Like