Samsung ne apne Galaxy A series me ek aur phone add kiya. Apni series ko expand karte hue Samsung ne 4th June ko Indian market me apki pakad aur majboot banate hue, Samsung Galaxy A31 ko launch kiya. Galaxy A31 last year launch hue Galaxy A30 ka upgrade version hai. Galaxy A31 me waterdrop notch ke sath sath 5000mAh ki battery bhi hai. And khas baat ye hai ki isme Samsung Galaxy A31 Fast charging se lais hai.
Price of Samsung Galaxy A31
Samsung Galaxy A31 ka price India me ₹21,999 hai. And ye market me 6GB RAM ke sath 128Gb storage vaale variant me Milegi. Basically ye phone aapko Prism Crush Black, Prism Crush Blue and Prism Crush White Color Variant me mil jaega. Ye smartphone Aaj se aapko 4 June se e-commerce website pe mil jaega.
Specification Kya Hai
Phone me dual Sim support hai. And latest android 10 base One UI pe chalta hai. Phone me 6.4-inch ki full HD plus display bhi milti hai jiska resolution 1080*2400 pixel hai. And screen display baaki Galaxy series ki Tarah hi Super AMOLED vaali hai. MediaTek Helio P65 processor ke sath sath 6 GB Ram and 128 GB ki storage bhi milti hai aapko. But khas baat to ye hai ki aap external memory laga ke storage ko aur expand bhi kar sakte hai.
Kamaal Ka Camera
Galaxy A31 me Quad Camera setup hai. Jinme 48MP ka main camera, 8MP ultra-wide-angle camera, and do 5MP cameras milta hai, ek depth ke lie aur doosra macros ke lie. And selfie ke lie 20MP ka camera bhi mil jata hai
Damdaar battery Galaxy A31 ki
Phone me 4G VoLTE, Wi-Fi, Bluetooth, GPS, USB Type C port, in-display fingerprint sensor and 3.5mm headphone jack diya gaya hai. Iske alawa Phone me 5000mAh battery hai jo ki fast charging ko support bhi karti hai. And Phone ka weight 185gm hai.
Samsung ka kahna hai Galaxy A31 Indian market ko dekhte hue hi develop hua hai. Jisme SMS inbox, multilingual typing, smart crop, aur bahut kuch Karna aasan hai.
Also Read: Latest Stories from on Entertainment, Lifestyle and Currently In Trend
Agar Apko Hamara Article Pasand Aaya Ho. Then Apne Views hame Comment Box Me Jarur likhe. And Aur Bhi Chatpate Khabro Ke Lie Hame Follow Kare Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin