Arvind Kejriwal tweet mein bataya tha ki Singapore Ke andar corona ka jo naya variant aaya hai wo bacchon Ke liye khaskar bahut Khatarnak hai. India mein agar coronavirus ki thirdwave aai to woh bacchon ke liye jyada problem create kar sakta hai. Aur Arvind Kejriwal ne Central government se appeal ki thi ki Singapore se aane wali saari flight ko band kar diya jaaye.
Aur bacchon Ke liye bhi vaccination allowed kar dena chahie. Unki yeh batein ek controversy ke roop Mein saamne aayi Jo ki ek bahut bada diplomatic issue ban chuka hai. Arvind Kejriwal ne Singapore mein jo virus hai use Singapore variant virus ka naam diya tha.
Singapore Reply | Arvind Kejriwal tweet
Is par Singapore ke diplomats ne bhi tweet Kiya ki ismein koi bhi sacchai nahin hai. Singapore mein jo variant hai to B.1.6 17.2 variant hai jo ki basically Indian dominant hai. In ka kahana hai ki yeh variant Singapore se koi naya variant nahi hai yeh Bharat se hi yahan par spread hua hai.
Foreign Minister Jaishankar Reply | Arvind Kejriwal tweet
Bharat ke foreign minister Jaishankar ne bhi reply Kiya ki is prakar Ke Jo ye irresponsible comments hai vo long-standing relationships ko bhi kharab kar sakte hain. Moreover unhone Ek bahut hi strong statement di ki chief minister of Delhi does not speak for India. Woh sirf aur sirf Delhi ke CM Hai woh Bharat ki taraf se baat nahin kar rahe hain.
Is baat ko lekar social media par Arvind Kejriwal ka bada hi criticism Kiya ja raha hai. Or ye kahan ja raha hai ki inohne jaldbazi mein political gains ke liye kuchh bhi likh diya.
Singapore ministry of foreign affairs |Arvind Kejriwal tweet
Singapore ministry of foreign affairs ne disappointment show ki . ki aisi prominent figure ne facts ko Bina dekhi hi aisi claims Singapore par lga diye.Abhi tak mostly kisi bhi desh Mein bacchon ke liye vaccine lagana shuru nahin kiya gaya hai. And last week UN ne authorized Pfizer and bioNtech vaccine ko children ke liye vaccine banane ki permission de di hai.
Singapore And India Relations | Arvind Kejriwal tweet
Agar ham India aur Singapore ki relationship Ki baat karen to yeh humesha se bahut friendly relationship rahi hai . Two nations enjoying extensive cultural and commercial relations .They also signed the comprehensive economic cooperation agreement and strategic relation agreement in order to increase trade investments and economic cooperation and expanded bilateral cooperation on Maritime security, training forces, joint naval exercises ,developing military technology and fighting terrorism.#Arvind Kejriwal tweet
Rv Talks ab Telegram par bhi paae latest update hamare Telegram channel par. Channel ko iss par click kar ke join kare. And aapko ye story kaisi lagi comment box me likh kar jarur bataeyga. And ise apne friends ke sath jarur share kijiega. Aur sath hi hamare social media handles ko follow karna na bhule Facebook | Instagram | Twitter | Linkedin