in

Srimad Bhagwad Geeta Mein Kalyug Ki Ye Sacchaiyan.

Srimad Bhagwad Geeta ya Bhagwad Puraan jinhe hum “Song of god” ke naam se bhi jaante hain, humans ki life ki true value or unka soul purpose batane me madad karti hai. Jo insaan Srimad Bhagwad Geeta ka path karta hai uske nazariye me zindagi ke maeene hi badal jate hai.

Ise Hinduism me kafi ucha sthan diya gaya hai . mahabharat ke samay mein jab arjun aapne hi bhaiyon or parivar ko apne against yudh karne ke liye taiyar dekh, ghabra rhe the tab shri Krishna ne arjun ko jeevan ki sacchaiyon se samna karaya or unka margdarshan kia or ise hi hum Srimad Bhagwad Geeta bulate hain.

Bata de ki Srimad Bhagwad Geeta ke last chapter mein kalyug se related kuch predictions likkhi hui hain, jo ki hum yaha apko batainge.

1 Shreemat Bhagwatam 12.2.1

Iss verse mein shri krishna ne kaha hai ki truthfulness, cleanliness, tolerance, mercy, duration of life, physical strength and memory yeh sab insaano ke andar khtm hoti jaaegi aur agar aaj hum dekhe to shri krishna ka kaha ek ek word sach ho raha hai. Aaj ke time pe logo ke liye juth bolna koi bdi baat nahi hai.

2 Shreemat Bhagwatam 12.2.2

Hindu vedon ke according jis insaan ka behaviour suljha hua hota hai, voh hi high class maana jata hai. Lekin kalyug ke hisab se shri krishna ne kaha hai ki kalyug me sirf paisa hi hoga joh insaan ko high class aur low class banaega. kalyug mein jiske pass zyada paisa hoga, law and justice bhi ussi ka saath dega.

Chauka Deni Books Ke Baare Mein Jaan Ne Ke Liye: Click Here

3 Shreemat Bhagwatam 12.2.3

Shrimad Bhagwad Geeta

Kalyug ke pehle do log sexual activities mein tabhi indulge hote thee jab unka koi deep connection ya relationship hota tha. But shri krishna ne Srimad Bhagwad Geeta mein yeh kaha hai ki kalyug mein log ek doosre ke sth attract honge and vo relationship mein rehne se katrainge. pyaar ka concept dheere dheere kam hota rhega. log auro ko unki masculinity aur Feminity ke basis pe judge krnenge. Isme humein yeh bhi bataya gaya hai ki agar humein business mein successfull hona hoga toh humein chal kapat aur dhoka dadhi jesi cheezen krni pad jaingi

4 Shreemat Bhagwatam 12.2.9

Srimad Bhagwad Geeta

Srimad Bhagwad Geeta mein shri krishna ne hamare planet ke future ke baare mein kaha hai ki jese ek patta pedh mein se toot ke gir jaata hai aur sookh ke murjha jaata hai wese hi insaan dheere dheere bhagwan se door hota jaaega aur sookh ke murjha jaaega. unka kehna yeh thaa ki kalyug mein log spiritual world se zyada materialistic world mein close rahenge

5 Shreemat bhagwatam 12.2.10

Srimad Bhagwad Geeta

Aaye din hum news mein earthquakes, floods, chori, terrorist attack and na jaane kya kya . apko bata de ki shri krishna ne inn sab ke baare mein pehle hi predict kr diya thaa. Srimad Bhagwad Geeta mein Aisa kaha jaata hai ki krishna ji jab geeta suna rhe the tb unhone kaha thaa ki kalyug mein aisa din aaega jab log extreme thand, garmi, jhagde, bimaari,anxiety,depression ko face krenge, aur inn sab mein hi insaano ka jeevan beet jaaega.

6 Shreemat bhagwatam 12.3.36

Srimad Bhagwad Geeta

Srimad Bhagwad Geeta ke verse mein shri krishna ne kaha hai ki kalyug mein servants aapne hi masters ko abandon kr denge jab unke pass paise khtm ho jaaega yeh yaad rakhte hue bhi ki unke masters ne unki kitni madad ki hai and vice versa masters bhi aapne servants ko abandon kr denge jab unhe lagega ki voh aab kaam krne ki laayak nhi rhe, yeh bhool ke ki unke servants ne unki kitni madad ki hai

2007 Se Lekar 2022 Tak Ka Iphone Ka Safar: Know More

7 Shreemat Bhagwatam 12.3.41

Srimad Bhagwad Geeta

Mahabharat kyun hui thii? kyuki bhaiyon mein pyaar se zyada nafrat bhar chuki thii. Aur agar hum dekhen to aaj ke time pe bhi yahi sab ho raha hai. Srimad Bhagwad Geeta ke verse mein shri krishna ne kaha hai ki  kuch paison ke liye log rishte naate sab todh skte hain. insaan ko doosre insaan ke liye pyaar nhi rhega aur insaaniyat toh khtm hi ho jaaegi

8 Shreemat Bhagwatam 12.3.42

Maa baap apni poori zindagi nikaal dete hain bachon ko bada krne mein. lekin aaj ke time pe yeh bahot common ho chuka hai ki bacche aapne parents ke boodhe hote hi unko old age home mein bhej dete hain kyuki voh unko ek bojh lagne lag jaate hain. issi cheez ke baare mein Srimad Bhagwad Geeta mein shri krishna ne kaha hai ki kalyug ke bacche aapne maa baap ki izzat nhi krenge aur materialistic things ke peeche  bhaagenge aur aapne desires ko satisfy krne mein lage rhenge


Srimad Bhagwad Geeta || Hinglishgram Ab Telegram Par Bhi Paae Latest Update Hamare Telegram Channel Par. Channel Ko Iss Par Click Kar Ke Join Kare. And Aapko Ye Story Kaisi Lagi Comment Box Me Likh Kar Jarur Bataeyga. And Ise Apne Friends Ke Sath Jarur Share Kijiega. Aur Sath Hi Hamare Social Media Handles Ko Follow Karna Na Bhule Facebook Instagram Twitter Linkedin

What do you think?

Written by Tannu Sharma

Iphone: 2007 vs 2022

India Ki 5 Mysterious Discoveries Jo Kar Dengi Hairan